|
Mila Hi Nahi
Us ko chaha bohat magher wo mila hi nahi
Lakh koshis ki magher fasla mita hi nahi
Us ko zamanay nay majbor is kader kar diya kay woh
Mayri kisi sada par tehra hi nahi
Har aik say pocha sabab us kay na milnay ka
Har aik nay bataya wo tayry liy bana hi nahi
Main tamam tar kosheson kay bawajod har gain
Or wo usy mil gaya jis nay usay manga hi nahi
Itni shideet say chaha usy or wo kisi or ka ho gaya
Shaiyad is jahan main wafa ka koi sila hi nahi
|