Kabhi Tum Idhar Se Guzar Ke,
kabhi tum idhar say guzar ke to daikho
in ankhon say dil main uter ke to daikho
yahan tum ko apni mohabbat milay gi
bohut gham diye thay humain zindagi nay
khilonay say bar kar na samjha kisi nay
magar tumnay aa kar bharay zakhm saray
kabhi tum idhar say guzar keto daikho
in ankhon say dil main uter ke to daikho
yahan tum ko apni mohabbat milay gi
nigahon main sab ki nazaray basay thay
diye jal rahay thay sitaray basay thay
merey ansooun ko kisi nay na daikha
kabhi tum idhar say guzar ke to daikho
in ankhon say dil main uter ke to daikho
yahan tum ko apni mohabbat milay gi