baad'baa.N khulane se pahley kaa ishaaraa dekhnaa
maiN samandaR dekhti huuN tum kinaRaa dekhnaa
yuuN bichaRnaa bhi bahut aasaaN na thaa us se magaR
jaate jaate us kaa vo muuR ke dubaaraa dekhnaa
kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaze pe chaaNd
ai shab-e-hijraa'N zaraa apanaa sitaaraa dekhnaa
aai'ne ki aaNkh hi kuchh kam na thi mere liye
jaane ab kya kya dikhayegaa tumhaaraa dekhnaa