|
yaar yeh zameen per najaiz qabza kerna kahan ka insaaf hea?
Madarsoon and Masajid main Wepons ka kya kaam hea?
Kudkash hamloon ki dhamkian dena yeh islam main kub aur kahan sikhaya gaya hea.(woh bhi appne hi muslim bros ko? )
Yeh loog ziyadater Kashmir say yateem baschon ko suhane khwab dekha ker laate hain and yahan aaker brain wash kerdete hain.
Islamic nizam tou aana hi chahiye,lekin jesa ke Endurer bro keh chuke hain ke gooli ke zoor per nahi bulke tableegh ke zarye.
Taliban ko dekhlain bandookh ke zoor per namazain pardwate thee,un ke jaate hi loogon nay foran darian saaf kerwadin.
Hamain islam per amal kisi ke durr say nahi bulke Allah swt say muhabat ke liye kerna chahiye.
|