
07-23-2007, 06:43 PM
|
|
|
|
HumaiN us desh jana hai...
~*~ HumaiN us desh jana hai... ~*~
naye is saal ki aamad pe ... tumsay itna kehna hai...
ijazat do humaiN humdam
ke qafs-e-jism-o-jaaN sehnay ka yara...
ab nahin baaqi !
humaiN us desh jana hai..
jahan pe titliyaaN phuloN ki baanhoN main
...chupi baithi...sakooN ki neend laiti hain
humaiN us desh jana hai
jahan kaliyoN ko muskanay say pehlay...
toot janay ka... koi khadsha nahin hota
jahan iss desh ki tarha ... koi ruswa nahin hota
humaiN us desh jana hai...
jahan pe parbatoN ki gaud say jharnay nikaltay hain
jahan aihsaas ke jugnoo har ik jaanib damaktay hain
jahan na dil ke kuchoN main kahin pe dard paltay hain
hain pal do pal ke ab mehmaaN ..
musaafat door ki janaaN ..
ijazat do humain jaldi..ke humko door jana hai..
sulagtay khuwaab ke angaar ki ta'beer lana hai
ke iss bai-jaan laashay ko tah-e-matti dabana hai
jahan na zaat raiza hai, na hi fikR-e-zamana hai
humain us desh jana hai ...
humain ... us Desh jana hai !!!
|