|
Mein yaadon ke mizar per
ik jalte bujhte deep ki manand
timtima rah hoon
yeh jante hoe bhi
keh
hawa ka ik tez jhonka
mujhay bhi ik yaad bana kar
gujar jay ga
phir bhi mein
jale ja rah hoon.
Aati jati sanson ki
jaise chah nah ho
saans aay ya nah aay
uss ki parwah nah ho
aisa
saans laine ka
gunnah
kiye jaa rah hoon.
Jaise ajnabi raston
ka rahi azal se
naa ashnaa
apni manzil se
Aise hi andekhi
musafton per
mein akela
chale ja rah hoon.
|