|
Judaii denay walay tumsay Umeed-e-wafa kaisii
Judaii denay walay tumsay Umeed-e-wafa kaisii
Ta'aluQ tuuT jaye jab
Muhabbat Rooth jaye jab
Tou phir Rasm-e- Dua kaisi
Milan kii iltejaa kaisi
Bhanwar meiN dolti kashti pe sahil ki tamanna kya
Ukhartay Saans hoN tou zindagi ki Aarzoo bhi kya
Jo manzil khoh chuki ho uss ki phir say justuju bhi kyuN
Magar dil nay tumhaiN kis waastay say yaad rakha hay
Tumhain kyuN Shaayeri meiN aaj tak Aabad rakha hay
Abhi tak maiN nay kyuN khud ko buhat barbaad rakha hay
Hawa key dosh par kyuN naghma-e- faryaad rakha hay
Judaai denay walay Aashnaai ki Qasam tum ko
Tumhari be-wafai, kaj adaai ki Qasam tum ko
Mujhey itnaa bataa denaa
Wafa ki chaahatoun ki mash'alaiN kaisay bhujaatay haiN
NishaaN kaisay mitaatay haiN
Bhulana ho jinhaiN unko bhala kaisay bhulatay haiN...
|