| You are Unregistered, please register to gain Full access. |
|
![]() |
|
|||||||
| Notices |
Kuch toot gaye hain kuch khawab baqi hainDiscuss Kuch toot gaye hain kuch khawab baqi hain at the Mehfil; Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi ... |
![]() |
|
|
Thread Tools |
|
|||
|
Kuch toot gaye hain kuch khawab baqi hain
Kuch toot gaye hain kuch khawab baaqi hain Maazi ki wafaon main kuch sarab baaqi hain Ab bhi waazai nahin hui tasveer zindagi ki Darparda ab bhi kuch naqaab baaqi hain Har sawal apni jagah joon ka toon raha Zubaan pe shikayaton ke kuch jawab baaqi hain Khali hua behte behte yaad main behta sagar Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko To usi dosti se kuch hisaab baaqi hain Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya kahin be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain Mar bhi nahin sakte ab to sukoon-e-zalim Hasrate reh jaain gi kuch hijaab baaqi hain Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaron main Parastish ke aur bhi kuch aadaab baaqi hain Karoon Kaghaz ke nazaron se mahak aaye gi kaise Haqeeqat ke guldano main kuch gulaab baaqi hain Sab ko samajh na 'Shaiki' tu yaar be wafa Teri tarah lute yahan kuch nawab baaqi hain!! |
| Sponsored Links |
|
||||
|
nice sharing sobia
|
|
||||
|
Re: Kuch toot gaye hain kuch khawab baqi hain
Niceee
![]() |