wah wah wah zabardast
thank u for sharing
kuch tu hawa bhi sard thi
kuch tha tera khiyal bhi...
dil ko khushi k saath saath
hota raha malaal bhi...
baat wo adhi raat ki
raat wo purey chand ki
chand bhi unchait ka
uspe tera jamaal bhi...
sab se nazar bacha k wo
mujhe kuch is tarhan se dekhta
ek baar tu ruk gaya
gardish-e-mahoo saal bhi...
dil tu chamak sakey ga kia
phir bhi tarash k dekh lain
sheesha garan-e-shehar k
haath ka ye kamaal bhi...
usko na pa sakey thai jab
dil ka ajab haal tha
ab jo palat k dekhiye
baat thi kuch muhaal bhi...
meri talab tha ek shaks
wo jo nhy mila tu phir
haath dua se yun gira
bhool gaya sawal bhi...
uski sukhan tarashiyan
mere liye bhi dhaal thein
uski hansi main chup gaya
apne ghumon ka haal bhi...
gah-e-kareeb shahrag
gah-e-baeed wehm-o-guman
uski rafakatoon mai raat
hijar bhi thi wasal bhi...
shaam ki nasamjh hawa pooch rahi hai ekpata
mooj-e-hawa-e-ko-e-yaar KUCH TU MERA KHIYAAL BHI...
wah wah wah zabardast
thank u for sharing
exactly muzna...poem is zabardast...
meri talab tha ek shaks
wo jo nhy mila tu phir
haath dua se yun gira
bhool gaya sawal bhi...
eid ka chand bahut yaadein lata hai...:d
this one is also gud... thaxx
thank u all
Bookmarks