Mere Pasandeeda Ashaar
Doston Ye mere kuch bahut hi pasan deeda sher hain, agar aap bhi apne sher batana chahte hain to zaroor likhiye, mujhe khushi hogi,
ARZ KIYA HAI !!!
Saqt raahon pe bhi aasan safar lagta hai
ye meri maa ki duwaaon ka asar lagta hai ( My Own)
Kabhi Dimaag Kabhi dil Kabhi Nazar mein raho
ye sab to ghar hain tumhare kisi bhi ghar mein raho ( My Own).
Ab ye bhi nahin theek ke har dard mitadein
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain
Socho to badi cheez hai tehzeeb badan ki
varna to badan aag bujhane ke liye hain ( Jaan Nisar Akhtar).
ham ne insaanon ke dukh dard kaa hal DhooNDh liyaa
kyaa buraa hai jo ye afvaah UDaa dii jaaye
ham se puuchho Gazal kyaa hai Gazal kaa fan kyaa hai
chand lafzo.n me.n ko_ii aah chhupaa dii jaaye (Jaan Nisar akhtar).
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
bade nikle mere armaan phir bhi kam nikle ( Chacha GhaliB).
Tu sare sajda huwa kabhi
to haram se aane lagi sada
tera dil to hai sanam aashna
tujhe kya milega namaz mein ( Allama Iqbal).
Hai Usool-e-aarzoo ka raaz tark-e-aarzoo
main ne duniya chod di to milgayi duniya mujhe (seemab akbarabadi)
nikale the dono.n bhes badal kar ke kyaa ajab
main DhooNDhataa Khudaa ko phiraa aur Khudaa mujhe ( Salman Akhtar).
|