|
paas se
Tumhain dekhataa hoon
Jab paas se main,
Kuchh ek saans letaa hoon
Vishwaas se main.
Samandar samandar
Kaha.n tak chaloonga,
Tanha raat bhar yoo.n
Kaha.n tak jaloonga,
Yo.n sheesho.n se bach kar,
Yo.n bheedo.n main chhupkar,
Mai.n apane hi mann ko
Kahaa.n tak chhaloongaa,
Bahut thak gayaa hoo.n
Is aabhaas se main
Tumhai.n dekhataa hoo.n
Jab paas se mai.n !
Har ek dard dil mai.n
Chhupaaye chhupaaye ,
Koi zindagi ko kaha.n tak
Chukaaye ,
Har ek shaam dhoondhali,
Har ek raat kaali,
Sitaare bhi hote hai.n
Kitane paraaye,
Bahut mil gayaa hoo.n
Aakaash se mai.n,
Tumhai.n dekhataa hoo.n
Jab paas se mai.n !
|