|
Tumhaarii Qabr per...
Nida Fazli apnay waalid ki intaqaal per ussay dekh nahin sakaa iss liye uss nay
nazam apnay waalid ko khiraaj-e- teseen k tor per pesh ki hai...
Tumhaarii Qabr per
tumhaarii qabr par main
faatihaa parhne nahi aayaa,
mujhe m’aaloom thaa, tum mar nahi sakte.
tumhaare maut ki sachi Khabar
jisne uraa’ii thii, wo jhootaa thaa,
wo tum kab the?
koi sookhaa huwaa pattaa, hawaa main gir kay Tootaa thaa.
meri aakkhain
tumhaare manzaron main qaid hain ab tak
main jo bhi dekhtaa hoon, sochtaa hoon
vo, vohii hai
jo tumhaarii nek-naamii aur bad-naamii ki duniyaa thii.
kahin kuch bhi nahi badlaa
tumhaare haath, meri ungliyon main saans lete hain
main likhne ke liye jab bhii, qalam kaaGaz uthaataa hoon
tumhe baithaa huwaa main
apni hi kursii main paataa hoon,
badan main mere, jitnaa bhi lahoo hai,
woh tumhaarii
laGzishon, naa-kaamiyon k saath baihtaa hai,
merii aawaaz main chup kar, tumhaaraa zahen rehtaa hai,
meri biimaariyon main tum,
meri laa-chaariyon main tum
tumhaari qabr par jis ne tumhaaraa naam likhaa hai
woh jhootaa hai,
tumhaari qabr main, main dafan hoon,
tum zindaa ho !
tum zindaa ho !
mile fursat kabhii, to faatihaa parhne chale aanaa.
Nida Fazli
|