wo gunaah khud karta hai aur saza humen deta hai.
wo gunaah khud karta hai,
aur saza humen deta hai
aur ye paagal 'mayur' hanskar,
uska har gunaah apne sar leta hai,
itna sangdil mera yaar ho gaya hai ,
jab bhi milta hai dil tod kar rakh deta hai...
usse baat na ho to hum na jeete hai na marte hain ,
aur wo apni baaton se humen qatl kar deta hai...
dard ka dariya bahata hai in ankhon se raat raat bhar,
wo kaise jaane apne bistar mein chain ki neend so leta hai..
hum sochte rahe use hamari wajah se kabhi taqleef na ho,
aur wo beraham bas dard aur taqleef hi deta hai..
usko parvaah nahin in ankhon ke aansuon ki,
hamare rone par wo apni aankhen meech leta hai..
us bedard ne shayad pyar kiya hi nahin,
har baat par pata nahin kis pyar ki duhayi deta hai..
bewafai ki saaren had khud paar gaya,
aur bewafai ka har ilzaam humen deta hai...
aur ye paagal hanskar,
uska har ilzaam hanskar sah leta hai
wo gunaah khud karta hai,
aur saza humen deta hai
|