yeh koochay yeh nelaam ghar dilkashi kay
ye lutay huay karwaan zindagi k
kahan hain kahan hain muhafiz khudi k
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye pur paych galiyaan ye badnaam bazaar
ye gumnaam raahi ye siikoon ko jhankaar
asmaat kay sauday yeh saudoon pay tikraar
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
taafuun say pur, neem roshan ye galiyaan
ye maslee hui adh khili zard kaliyaan
ye bikti hui khokhli rang raliyaan
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye ujlay darechoon mai payal ke chan chan
tanafuus ek uljhan pay tablay ki dhan dhan
ye bay rooh kamroon mai khansi ke thun thun
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye gonjtay huay qahqahay rastoon par
ye charoon taraf bheer se khirkiyun par
ye awazay khainchtay huay anchaloon par
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye phoolon kay gajray yeh peekon kay cheentay
ye baybaak nazraian ye ghustakh fikray
ye dhalkay badan aur bemaar chehray
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye bhoki nighain hasenoo ke jaanib
ye barhtay huay hath seenoo ke jaanib
lapaktay huay paoon zeenoo ke jaanib
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
yehan peer bhi aa chukay hain jawan bhi
tanoo mand baytay bhi aba miyan bhi
ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
madaad chahti hai ye hava ki baytee
yashodha ke hamjins radha ke baytee
paimbar ki umaat zulekha ki baytee
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
zara mulk kay rahbaroo ko bulaoo
ye koochay ye galiyan ye manzar dikhaoo
sana khuwaan e taqdees e mashriq ko laoo
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
Bookmarks