My latest GHAZAL
Khayalon ko alfaz ki chadar de dena
Yaad aaoon main to kahin naam likh dena
Teri zulf ka main aseer ho gaya hoon
Baat karni ho gar to zulfain bekher dena
Hota hai din yahan to teri chashmagi se
Jab rat kani ho aankhain band kar dena
Hota hai chaman paresha.n teri udasi per
Tum khush ho lena baagh main phool khila dena
Teri hansi per yahan badalte hain mausam
Tum mukara kar baharon ko sharma dena
Tere galo.n se yahan ke jalte hain gulab
Tum ghusa dikha kar unhain khak kar dena
Baton se teri rehti hai yahan ronaq
Tanhaiyan apni tum mujhe de dena
Tere haath rakhne se aagayi mujh main jaan
Woh maujza-e-maseehai zara phir se dikha dena
HASSAN to hai yahan zaleel-o-khuwar
Tum naam le kar urooj de dena
Last edited by zohaib1; 04-20-2007 at 01:10 AM.
|