Palat Aoo Apnay Rab Ki Taraf Or Mati Ban Jao Apnay Rab K Kabal Iss k Keh Tum Per Azab Ajae Or Phir Kahi Say madad Na Mill Sakay
(sora Zamar ayat54)
HAZRAT ALI ABN-E-Abi TALIB kahtay hain k HAZRAT MOHAMMAD(S.A.W)nay farmaya :
Jab meri umat main 15 kaslatain(boraeyan)peda houn toh in per mosibat nazil hona shuro ho jain gi
Daryaft kiya gaya who kya hain?
FARMAYA:
Jab Sarkari Mall Zati Milkiyat Bana Liya Jae Ga
Amanat Ko Mall-e-Ganimat ( lota howa mal)Samjha Jae
Zakat jurmana Mahsoos Ho
Shohar Bewi Ka Mati(Farmabardar)Or Man Ka Nafarman Ban Jae
Admi Dostoun Say Bhalae Karay Or Bap Per Zulum Karay
Masajit Main Shour Macaya jae
Koum Ka Zalel Tareen Admi Iss Ka Lider Ho
Admi Ki Ezat Iss Ki Barhae K Dar Say Honay Lagay
Nasha Awaiz Chezain Khulam Khulla Istaimal Ki Jain
Murda Raisham Pahnai
Alat-e-Mosiki Ko ikhteyar Kiya Jae Or Ganay waliyan Farham Ki Jain
Uss Waqt k Pechlay Loog Aglo Per Lan Tan Karnay Lagain
Toh Logoun ko Cahye k Har waqt Azab-E-Elahi k Muntazir Rahain kowa
Who Surk Andhi ki Shakal Main Aee Ya Zalzalay Ki Shakal Main
Ya Asab Al Bast Ki Tarha Sortain Maskh Honay Ki Shakal Main
Intezaray Azab Ka Ya Iqrara Gunahoun Ka
Faisla App K Hath Main Ha
Tambi ,Nasihat, Mohlat
Hum Daikh Rahay Hain:
Sout Jo Khuda Or Uss K Rasoul(S.A.W)Say Jang Hukmaran iss K Haq Main Adalat Main Jatay Hain
Raks-0-Soror Or Behayae Ka Culture
Sadar Mumlikat Khud Raks Farmatay Hain
Falasteen,Kashmir or Afganistan k Shudha K Khoun Ki Hurmat Pamal Hoti Ha
Cable Or TV Nashriyat K Zarye Fahashi Or Behayae Ka Tofan
Gairat Ka Janaza Nikaltay singeBoard
Nisab Say QURANI Ayat Ka Ikhraj
Zulum,Karaption,Tashadud Ka Culture Aam
Madaris K Khilaf Opration
Dari Or Parday Ka Khulam Khula Mazak Urta Ha
Musalmanoun Per Zulum Or kafiroun Ka Sath Diya Jata Ha
Hum Daikhtay Rahay…………..! Hum Chup Rahay…………!Laiken Rab-ul-Alameen Nay Humain Hilaya Ha………………!
Kya Ab Bhi Waqt Nahi Aya K Humaray Dil Pighal Jain________?Garhay K Kinaray Pohanch Ker Toh Shaour Na Bhi Rakhnay walay Bhi Rukh Jatay Hain.
Iss Mohlat say Faida Uthain:
Allah K Hozour Touba Astaghfar…………………Aenda galti na kernay ka Ehad k sath
Siratay Mustaqeem Ki Taraf Hidayat Mangain……….Aenda na bhatknay k Ehad k sath
Allah Ki Rasi Ko Mazboti Say Pakrain………….Aenda taqseem na honay k Ehad k sath
Allah Ki Kitab Ko Mazboti Say Tham Lain………Aenda na chornay k Ehad k sath
Allah K Rastay Per Chalna Shuro Ker Dain……Aenda rasta na badalnay k Ehad K sath
Yeh waqt ha iss pokar per LABAIK kahnay ka........!........!........!
Iss waqt kayamat ki itni nisaniyan pori ho chuki hain app iss mail say andasa laga hi saktay hain toh ab bhi waqt ha k hum islam ki taraf lout ain 28paray main Allah nay bar bar apnay azab jo uss nay dosri komoun per bejay hain unn ka zikar kiya ha or bar bar yehi Farmaya ha
Kya Koi Ha Iss say Hidayat lainay wala
Bookmarks