i was thinking ke kiyoon na yahan per roz ki iftari ko share kia jaye lol i mean ajj sab ne iftari main kia khya, sum special dish or kuch special banaya tu us ki recipe yahan per sab ke saath share kia jaye. kaisa ?
well ajj humaray haan chicken samoosa, fruit chaat egg rolls pakoras ofcource banay hain.
chaloo jo b bana zaroor bataye ga. aur kuch agar special ya diffent bannien tu recipe b bataye ga , main tu itni cooking nahi karti, per ramzan main choti choti cheezien bannana acha lagta hai
bilkul ji aftari share karni chahiyay
nayee nayee recipies milangi aur aftari mazaidar hogi, lekin yeh tou larkion k zyada kaam aaye gi hum tou offices say aftari k time hi ghar jayaingay lolz
Bookmarks