Results 1 to 8 of 8

Thread: Main Tou Mohabbat Hoon

  1. #1
    Main baarish ki barasti boond nahi
    Jo baras kar tham jaati hai

    Main khawab nahi
    Jisey dekha aur bhula diya

    Main shama nahi
    Jisey phoonka aur bujha diya

    Main hawa ka jhonka nahi
    Jo aaya aur guzar gaya

    Main chand bhi nahi
    Jo raat k baad dhal jaye

    Main to woh ehsaas hoon
    Jo tujh main lahoo ban kar gardish kare

    Main to woh rang hoon
    Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay

    Main woh geet hoon
    Jo teray labon se juda na ho ga

    Khawab, Ibaarat, hawa ki tarah
    Chand, boond, shama ki tarah
    Meray mitnay ka sawaal nahi
    Kyunkay MAIN TOU MOHABBAT HOON
    Aur Mohabbat Ko Zawaal Nahi
    “Other than my own soul I never found a faithful friend, other than my own heart I never found a confidant.” - Zaheer-ud-din Muhammad Babar

  2. #2

  3. #3
    hmmmmmmmmm nice sharing

  4. #4

  5. #5
    wowwwwww superb......beautiful thank u for sharing

  6. #6
    Shukriya Villies, Chocus, Primrose & Muzna. Acha mehsoos hota hai jab aap log kisi cheez ko pasand kartay hain aur apreciate kartay hain. Thanks!
    “Other than my own soul I never found a faithful friend, other than my own heart I never found a confidant.” - Zaheer-ud-din Muhammad Babar

  7. #7

  8. #8
    nice nice very nice mohabbt ko bohut achi tareqa se describ kiya very nice very beautiful....thanks to sharing with us.
    Ramadan Kareem to everyone ...

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •