youn zindagi ki raah mein
din mere nikal gaye......
keeya tujhko yaad maine
kadam mere sambhhal gaye

jab bhi karna chaha maine
khushi ka zikr ghazlon mein
meri ungliyon se tadap kar
kalam mere phisal gaye...!!

dene lage hain mujhko
ab dard ki jagah dawaa
tum hi karo kuch doston
qaatil to mere badal gaye

nahin kismat ko bhi manzoor
ke "H@Y@T" tumhe bhulaa de
tera khat jalaana chaha
aur haath mere jal gaye....!!