woow nice aap to shayar nikle
Gazal Tere Naam Na Hojaye
```````````````````````
Phir aaj koi Ghazal Tere Naam na ho jaye
Aaj kahin likhte likhte Shaam na ho jaye
Kar raha hon Intizar Tere Izhar-e-Mohabbat ka
Isi Intizar main Zindagi Tamam na ho jaye
Ab to nahi leta Tera Naam Sar-e-Aam is Darr se
Kahin Naam Tera Badnaam na ho jaye
Mangta hoon Duaa jab Tu Yaad aata hai
Ke Judai Mere Pyaar ka anjaam na ho jaye
Sochta hoon, Darta hoon Aksar Tanhai mai
Us k Dil mai kisi aur ka Maqam na ho jaye
*`*`*`*`*`*
woow nice aap to shayar nikle
sochta hon .. agar nah kar paya es ghazal ki tareef ..Sochta hoon, Darta hoon Aksar Tanhai mai
Us k Dil mai kisi aur ka Maqam na ho jaye
toh kahein yeh aadi .. badnaam nah ho jaye ..
bohat khoob .. loved it .. keep writing n keep sharing
aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..