Results 1 to 3 of 3

Thread: ::. Woh Gali .::

  1. #1
    ::. Woh Gali .::


    Bohat kya intezar .. woh nah aai ..
    Mili bas mujh ko .. meri parchai ..

    Umr gai guzr safar mein pori ..
    Bacha bas main aur meri tanhai ..

    Woh galiyaan mujhe aaj bhi yaad hain .. woh kochay aaj bhi mujhe pukarte hain .. woh bosida makaan .. woh kachi galiyaan .. aaj bhi meri her yaad samoye hoye hain .. kehne ko toh waqt badal gaya hai .. saathi badal gaye hain .. mazil badal gai hai .. magar woh raste abh bhi nahi badle .. aaj bhi un sarkon peh chalta hon toh sab kuch wapis aa jata hai .. woh un peh guzara hoa aik aik pal .. meri her yaad goya sama gai ho en main .. kya thay woh din .. kya thein woh yaadein .. !!

    Baki sab ki toh jaga apni hai .. laiken woh ek gali .. aaj bhi mujhe nahi bhulti .. bazahir toh aik aam sa rasta hai .. magar jab bhi odhar se guzron .. ek ajeeb sa sama bundh jata hai .. bhol jata hon ek lamhe ke liye ke kaun sa din hai .. kaun sa mahina aur kaun sa saal .. asmaan peh woh taray .. woh thandi december ki hawa .. woh patoon ka charon taraf urna .. woh tehniyon ki apis main takrane ki awaz .. aise jaise kudraat apna he koi saaz baja rahi ho .. yeh wohi gali hai jahan mujhe mera javen saathi mila .. mujhe meri mazil mili .. mujhe jeni ki ek nai umang nazr aai .. mujhe mere hone ka maqsad dikha .. !

    Aisa manu .. sab tham sa gaya ho os raat .. ek lamhe ke liye sanata cha gaya ho .. jaise pori kainaat ruk gai ho .. woh ek lamhe ne mujhe woh kuch de dala .. mujhe woh kuch dikha dala ke bas main ne os ko apni taqdeer maan liya .. bhol gaya main es duniya ki pareshaniyaan .. bhula baitha main apne saray ghaam .. bas lagta tha wohi meri sab kuch hai .. wohi mujhe khush rakhe gi .. aur bas isi ko pana toh mera maqsad hai .. isi liye shaid abhi tak zinda tha .. aur shaid isi ke liye es gali se guzarta tha .. !

    Ahh .. abh bhi yaad hai .. os ko pane ka manu junoon sawar ho gaya ho .. os aik raat ne mujhe itna haseen tuhfa de dala ke zindagi se koi gila he nahi raha .. jene ki ek nai kiran .. os ek raat ke os ek lamhe ko main apne dil main samoye baitha hon .. aaj bhi jab os ke baray main sochon toh ek ajab se rikut tari ho hati hai .. wohi asmaan main taray .. wohi thandi hawa .. wohi paton ka urna .. wohi tehniyon ka takrana .. wohi kudraat ne apna raag gungunana .. haan .. mujhe abh bhi yaad hai .. woh gali .. woh kocha .. jahan mujhe mili .. meri tanhai .. !!
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  2. #2
    brings back special memory...one that makes one forget everything else in the present, very very nice:thumbs:
    ~Ye Dard Ka Tufaan Guzra kyu nahi..Dil Toot Gayaa Hai To Bikhra kyu nahi..Ek Hi Shakhs Ko Chahta Hai kyu Itna..Koi Dusra Is Dil Me Utarta kyu nahi~

  3. #3
    thnkx alot
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •