Results 1 to 10 of 10

Thread: ::. Meri Munzil .::

  1. #1
    ::. Meri Munzil .::


    Yeh gaye dino ki baat hai .. yeh baat kal ki nahi .. mausam bhi khushgawar tha .. taranum-e-bahar thi .. main bhi bas yunhe ghar se nikal para .. bina kisi maqsad keh .. bina apni mazil ka soche .. chalta hoa bus stop tak aa pohancha .. nahi maloom kahan jana hai .. bas nazrein neeche .. ser khum .. kisi keh intezaar mein .. nahi ilm kitna waqt beet gaya .. aur bas aise he bekhayali main nazar oper uthai aur baein janib dekha .. goya jab main apne khayalon main gom tha toh koi paas aa khara hoa .. aur mujhe khabr tak nahi .. bas aisi he meri nazr os shaks ke chehre pe gai .. aur bus .. mere liye toh aise jaise waqt he ruk gaya .. aisa jaise mere dil ne dharkna chor diya .. aisa jaise sanata sa cha gaya .. bilkul aise jaise es kayenaat main hum dono keh ilawa koi aur makhlooq he nah ho .. bilkul aise jaise main ne koi haseen khaab dekha ho .. !! kya bayan karon main ne kya munzar deekha .. ilfazon main bayan kar ke main os ki toheen nahi karna chahta .. mere pas woh ilfaaz he nahi jo un lamhon ki khubsorti ko bayan kar sakte hon .. woh jazbaat he nahi jo os waqt ki kashish ko bayan karte sakte hon .. !! woh bhi goya khayalon ki duniya main gom thi .. es jahan se bekhabar .. es baat se bekhabar keh koi ose deekh raha hai .. koi ose nazron se poojh raha hai .. koi yeh jaane ki koshish kar raha hai keh yeh insaan hai ya pari .. bilkul masomiyat se bhara os ka chehra .. aur bohat halki si muskurahat .. os ki bhikhri zulfein .. aur os ki gehri aankhein .. os ki woh chanchal si muskurahat .. aur woh phir dhere se ser jatakna .. os ka woh apni zulfon ko kaan ke peeche karna .. aur phir os ki zulfon ka phir se azad hona .. un ka lehlehana .. yeh sab aik ajeeb sa sama bandh raha tha .. bilkul aisa jaise koi haseen khab dekh raha hon .. bilkul aise jaise meri koi bohat he bari arzoo mere samne ho .. main toh bus ose isi tarhan zindagi bhar deekhne ko tyaar tha .. main ose kuch keh ke ya chu keh os ki tuheen nahi karna chahta tha .. kuch pata nahi kitna waqt beet gaya .. bas osi ka jaiza laite hoye .. yehi maloom karne main yeh khaab hai ya haqeqat .. insaan hai ya koi pari .. aur bas .. itni main wohi shaid apni jaga se hili .. aur samne rukti hoi bus ki aaor bhari .. bus ka darwaza khula .. woh os mein charhi .. aur apni manzil ki taraf .. aur main apne ghar ki taraf .. !!
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  2. #2
    hmm..nice observation and expression of feelings....keep it up :up;..Thanks 4 sharing.



  3. #3
    zabardast......thank u for sharing

  4. #4
    Quote Originally Posted by RAHEN, post: 228978
    hmm..nice observation and expression of feelings....keep it up :up;..Thanks 4 sharing.
    hehe no observation ..

    @munza .. thnkx alot
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  5. #5

  6. #6

  7. #7
    so nice..nice sharing..useless..
    Ramadan Kareem to everyone ...

  8. #8
    very good...its very deep and ur words r used nicely...thanx and keep sharing:thumbs:
    ~Ye Dard Ka Tufaan Guzra kyu nahi..Dil Toot Gayaa Hai To Bikhra kyu nahi..Ek Hi Shakhs Ko Chahta Hai kyu Itna..Koi Dusra Is Dil Me Utarta kyu nahi~

  9. #9
    thnkx alot everyone :rose;
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  10. #10
    you always welcum

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •