Results 1 to 7 of 7

Thread: ::. Ek Bulbul .::

  1. #1
    ::. Ek Bulbul .::


    "Mere her qadam main hai ek justaju ..
    Meri her baat main hai ek aarzo ..
    Main nah chah kar bhi hon mukhtalif ..
    Meri her nazar main hai ek .. tu he tu .. !"

    zindagi beet-te palon ka naam hai .. guzar jane wale pal .. jo kabhi laut keh nahi aate .. jo nikal gaya so nikal gaya .. kehte hain koi cheez bemaqsad nahi es qainaat mein .. har cheez ka koi nah koi maqsad .. wajah hai .. kisi ke 'hone' ki waja hoti hai .. ek aam se shaks ki qemat koi nahi laga sakta .. aane wale palon mein woh kya kar sakta ho .. koi nahi janta .. her shaks ki aik apni pehchaan hoti .. apni aabro .. apni izat .. zindagi ke inhi beet-te palon mein khushiyan bhi aatien hain .. ghum bhi .. kai bar hum logon se ghir jate hain aur kabhi bilkul tanha .. kabhi toh sahil ke kinare tanha bhi khare hon toh lagta hai pora jahan saath hai .. aur kabhi mehfil ke aaein beech mein bhi aisa mehsos karte hain jaise bilkul akele hain ..

    zindagi .. zarorat ka naam hai .. aik dosre ki zarorat .. kab kahan kise kis ki zarorat parh jaye kuch nahi pata .. kai baar aisa mehsos hota hain hum akele hain .. magar woh oper wala .. jis ki do ungliyon ke darmayan pori qainaat hai .. os keh apne he khail hain .. kab kaha kisi ki zayada zarorat ho sahare ki .. wahaein saathi bheej deta hai .. kabhi kisi ki duaa sun keh .. kabhi kisi ki pukar sun keh .. aur kabhi kisi ke aanso ki 'tars' sun ke ..

    Zindagi .. saath dene ka naam .. kai baar aisa lagta hai jaise yehi shaks hamare liye sub kuch hai .. sab kuch .. ose hum sahara deta hain .. os ka saath dete hain .. os ke liye itna kuch karte hain keh woh soch bhi nahi sakta .. kai baar toh hum bohat kuch batate he nahi ke kahein woh apne aap ko kamzarf nah samjh baithe .. aur achanaq aik din .. aik khobsurat khab ki tarhan sab tot jata hai .. chor jata hai woh shaks .. osi bulbul ki tarhan jise kisi darkht ne apne aaghosh mein jaga di .. jab tak toh tufaan raha .. sahare ki zarorat rahi .. bulbul os ke aaghosh mein chupi rahi .. aur jaise se tufaan thama .. aur ghonsala banane ka waqt aaya toh kisi aur paer ke tehni peh ja ghar basaya keh nah ji .. tumhari tehniyan 'itni' takatwar nahi keh mere ghonsale ka wazn barshah kar lein .. aur woh darkht .. isi tago doh mein bhi apne aap ko ilzam deta hai .. itne mein aik aur bulbul aati hai .. aur osi tarhan .. os ke aaghosh .. os ki hifazat ka sawal karti hai .. darkht phir han keh deta hain .. magar abh ke sawal hai zehn main .. kya yeh bhi tuffan thamne ke baad apna ghonsala kahein aur basaye gi .. abhi toh sahara de dala .. jab kal mera dil machle ga toh kya yeh bulbul mera saath de pai gi .. isi he soch mein tauffan aya aur gaya .. aur saath os ke bulbul bhi .. !!

    aur aaj bhi woh darkht .. pichle hazarhaan saal se khara .. isi intezar mein hai keh .. shaid koi bulbul aye aur os ke darecheh mein apna ghar basa le .. !!
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  2. #2
    :applaud;...superb..maza aagaya parh kar...it is really v.nice..keep it up :up;



  3. #3
    Mera bulbul soraha hey shor na macha

    very nice useless
    keep sharing dear

  4. #4

  5. #5
    thnkx alot everyone .. :rose;
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  6. #6
    wowwwwww..bohut nice hai...ek dam heart touching hai..but bohut khoob surat bhi hai...i like the name u choose bulbul..nice sharing..
    Ramadan Kareem to everyone ...

  7. #7
    thanks alot ahsaas :rose;
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •