Results 1 to 7 of 7

Thread: Abhi Kuch Waqt Lagna Hai........

  1. #1
    Abhi tum yaad na aao,

    Abhi kuch zakhm baaqi hain.

    Mohabbat ki abhi kuch rasm baaqi hain

    Abhi bechain hain hum bhi

    Abhi aanson chalakne hain

    Abhi dil so gaya hai roote roote

    Usse bhi jugna hai

    Tumhare ghum mein roona hai, tarapna hai

    Abhi ruh ko machalna hai

    Labon pe jaan aani hai

    Mohabbat ko sisakna hai

    Abhi sanson mein garmi hai

    Inhe tum sard hone do

    Abhi tum yaad na aao

    Abhi kuch waqt lagna hai…
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  2. #2

  3. #3
    Thanks!!!!!!!!!
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  4. #4
    great...:up;... for how long have u been writing poems..?



  5. #5
    MashAllah

    Great Kavish :up:
    ~*jeenah mera terah Lila too nahi pas to kiya howa_khushboo tere har pal rahai sanshoo meri sada_mai nahi jaata meri manzil kahan Yoon hee chalta rahoon mai agar_yeh hai kasa seher_ junoon ka safar tera aihsaas he too rahai gah amar *~


    [SIGPIC][/SIGPIC]

    ~Come with me and sleep forevermore...~

  6. #6
    I started writting when I was in my college but I usually write "Aazad Nazam"
    ............Alfaz aor jazbat kafiya radeef ki bandish ke muhtaj nahi hotey........
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  7. #7
    lekin agar aap chahen tau aap kafiye aur radif k sath poems likh sakte hain..kyunki aap ki is poem mein "hain" and "hai" mil rahe hain..



Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •