Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 11

Thread: Just Think!

  1. #1
    Aslam o ALikum
    hum kaise Musalmaan he?
    Fajar neend mein,
    Zohar college/job mein,
    Asar araam mein,
    Maghrib kaam mein ,
    ISha tv mein ,
    Jumma ki sirf 2 rakat wo bhi duniya ke khayal mein,
    agar koi tahajjud padhta hai to ye bahoot ta'jjub ki baat samjhte hain!
    yad rahe…Qabar main sabse pehele jo sawal hoga wo Namaz hi ke bare
    main hoga.
    app se guzarish hai ke apne momin bhaiyon aur behno ko namaz ki
    takeeeq kerein
    Allah hum sab ki duaon ko qabool farmayen..or hum sab ko naik amel
    kernay ki Taufeeq dey ..(AMEEN)
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  2. #2
    *Ameen*
    buhat hi achi bat kahi candle sis... aisa hi horaha hey ajkal, hum log ALLAH or apne religion se gafil hochuke hain.. or sare blam media ko dete hain.. mein ye kahoga ke sari galatiya humari apni hoti hain.. jin ki waja se hum Musalman hote hue bhi Islam se door hote jarahe hian.... ALLAH pak se her dum yehi dua hey ke hum sab ko 5 waqt ki Namaz ada karne ki Tofeeq ata farmaye.

    You know candle William Shekspear said about Muslims and Islam...

    Dunia ka sab se acha Mazhab Islam hey... Or Dunia ki sab buri Qom Muslalman hain....
    Janti ho us ne aisa kio kaha.. islye ke Humara Mazhab sab se acha hey... Lekin hum us ko follow nahi karte...

  3. #3
    nice sharing candle jaan...:up;
    wellsaid villies..:up;

    jahan dil ho wahan insaan pohunch he jata hai..phir yeh sub cheezen kaam nahi aati...me ne logon ko dekha hai maghrib ki namaz k liye car rok kar namaz parhte hain...kyunki is ka waqt kum hota hai...jahan yeh sub hota hai wahan maghrib ki azaan ho gayi jamat bhi hogayi aur ghar mein drama aur apne kaam nahi chorte...summary yeh hai k agar dil mein namaz parhne ki muhabbat ho tau insaan kuch na kuch kar he leta hai...dil mein jazbaat sincere hone chahiyen..



  4. #4
    han main aik baat kehna chahooon gi
    hamaray parents ka bohat zyada hatah hai hamari tarbiyat main balkay agar yeh kahain k hath hi unka hai to galat nahoga

    agar start main wo pyar se samjhaien or agar phir hum unki baat na manain to dant se!


    kiunki meraay parents nay younhi kiya!
    pehlay pyar se

    or us k baadd aaj tak agar namaz nahi to dant
    thik hai k hum un k dar se namaz parhtay hai
    lekin aagay jab wo hamaray sath na hongay to b hamari namaz ki aadat to hogi naa!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  5. #5
    pehle yeh hota tha mere sath k jab bhi mom parhti theen tau me ko bhi sath le leti theen..me un k jaise actions sirf karti thi..us k baad ustani ne me ko namaz n quran sekhaya aur phir pata he nahi chala kab aadat par gayi...me tau kahongi agar parents namaz parhne wale hain tau laziman bache bhi honge...lekin jaise he woh bare ho jate hain tau kuch nahi parhte aur kuch k rag rag mein namaz parhna one of the obligatory ho jata hai....



  6. #6
    yes u r roght sis!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  7. #7
    well if right comes..then u r right too..wellsaid...



  8. #8
    Well said Rahen sis, Candle sis & villies bro

    Wakae parents ke tarbiyat ka barra asar hota hai, ghar mien jaise mahool parents rakhien ge waisa he asar hoga bachoon pe bhi
    lekin kuch kamiyan bachon mien bhi hote hain
    kabhi kuch bachi ache cheeezien zyada adopt karte hain
    kabhi buree
    bache ke soch pe depend karta hai i think

  9. #9
    All of you are right....insaan ko hamesha koshish kertai rehni chahiye kai woah apney aap main behtar sai behtar qualities lasakey...life is long learning phase and there are never enough things that we have learned..especially in Islam. Everyone should keep trying to bring the positive and the best in their life..with respect to Islamic education.....and this is what i follow whenever i can.
    take life as it comes

  10. #10
    Ji Han Bilkul!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •