-
[SIZE="5"]Badal Jati Hain[/SIZE]
"pal bhar main tamam umar ki sochain badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahain badal jati hain
karney ko kia nahi kartey log mohabbat main
sirf hamarey liye hi kyun? rasmain badal jati hain
woh aesa hai ke us ka naam sunney ke tasawur say hi
hamari tamaam tar saasain badal jaati hain
chahe manzil dushwar ho aur duur bhi
humsafar us jaisa ho tu musafatain badal jaati hain
yun to raat ka aalam haseen hota hai, madhosh bhi
magar chaand dekhon tu meri raatain badal jaati hain
mat chaho ke muje aadat nahi itna chahne waalon ki
yeh na ho log kahain, jald hi aadatain badal jaati hain
-
-
zabardast poem ....thanks for sharing
-
:applaud; bahut khoob...waqayi mein bahut kuch badal jata hai...
nice sharing..keep it up jiya...:up;
-
sweet work friend nice sharing :thumbs:
pal bhar main tamam umar ki sochain badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahain badal jati hain
karney ko kia nahi kartey log mohabbat main
sirf hamarey liye hi kyun? rasmain badal jati hain
main tumhi toot kar chon ga aai kheyal mat rakhna
koy aas koy yaad pass mat rakhna
aai mare dil ki tamna bhi hi or hukom bhi hi
kheza ki rut main kud ko udas mat rakhna
kasi kai waste jo badal bhi loo raste
dubara loot kai janyai ki aas mat rakhna
tumhare dost bhi hojai gai budguma tum sai
apnai lheje main atni methas mat rakhna
gar tanha rahne ki jo thanli jo dost
as zamai ka khof o heras sath mat rakhna
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules