Results 1 to 7 of 7

Thread: pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogee

  1. #1
    By javaid Akhtar:

    pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogee
    mere haalat kee aandhee mein bikhar jaogee
    ranj aur dard kee bastee kaa main baashindaa hoon
    ye to bas main hoon ke is haal mein bhee zindaa hoon
    khaab kyun dekhoon woh kal jispay main sharmindaa hoon
    main jo sharmindaa huaa tum bhee to sharamaaogee
    kyun mere saath koi aur pareshaan rahe
    merii duniyaa hai jo viraan to viraan rahe
    zindagi kaa ye safar tumako to aasaan rahe
    hamasafar mujh ko banaogee to pachhataaogee
    ek mein kyaa abhee aayenge divaane kitane
    abhee gunje gee muhabbat ke taraane kitane
    zindagee tumako sunaayegee fasaane kitane
    kyun samajhatee ho mujhe bhuul nahi paaogee
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  2. #2

  3. #3
    Pyar pa ker tumhara mein wo paaonga...
    jo kabhi na mila wo sakoon paaoonga...
    bhut hasrat thi is dil mein teri chahat ki....
    ab teri mohabbat se apni duniya sajaoonga..


  4. #4
    kaise bhool jaon woh kiye vaade
    kaise basera karon aur k dil mein
    dil tau hai tera hum safar
    kia karon mein duniya k fitne

    superb and lovely poem candle jaan...keep it up..:up;

    nice shair moments...keep writing them...until u want...



  5. #5
    tum nay to pa liya par hamain kya do gay
    aisa to nahi k hamain chor do gay!





    eeent ka jawab pathar se
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  6. #6
    jo log dil mein bas jatey hein...
    unhein bhulana mushkil hota hai...



  7. #7
    han aisa to hai par


    q hum aisa karain k kissi ko basaien
    q na aisa karain k kissi k dill main bass jayen!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •