Results 1 to 2 of 2

Thread: Dour Kahiin Khaboon Ka Aik Jazeera Hai

  1. #1
    Dour Kahiin Khaboon Ka Aik Jazeera Hai
    Mein Roz Wahan Per Jata Hoon
    Meethey Meethey, Piyare Piyare
    Sapney Chhun Ker Lata Hoon
    Kuch Sapnoon Se Bheeni Khoshbo Aati Hai
    Kuch Sapnoon Mein Rang-Barangi Yadaiin Hain
    Kuch Sapnoon Mein Mosam Hain
    Kuch Albeelay , Mastanay Se
    Kuch Sapnoon Mein Chahat Dais Ki Bataiin Hain
    Kuch Sapnoon Mein Phol Aor Khoshbo ,
    Mil Ker Naghmay Gaa.tay Hain
    Aor Mein Hansta Muskata Unko
    Piyar Se Dekha Karta Hoon
    ..................................
    ..................................
    Suraj Ki Kuch Zalim Kirnaiin
    Roz Hi Unse Lartii Hain
    Aor Sara Din Mein
    Inn Sochoon Mein Uljha Hi Reh Jata Hoon
    Ke..............
    Dour Kahiin Khaboon Ka Aik Jazeera Hai
    Aor Kismat Mein Her Roz Hi Shayad
    Inn Khaboon Ka Khoon Likha Hai


    (A Page From Adhorey Sapney By Kashif)
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  2. #2
    kuch sapne aise he hote hain...nice one sagar...its beautiful..Thanks 4 sharing...



Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •