Results 1 to 6 of 6

Thread: Shikaayat. . . .

  1. #1
    SHIKAAYAT

    Ek pal ko
    Nazar kya mile raah mein
    Ye zamaana bohat door tak soch leta hai
    Chaaron taraf
    Shor aaisa umaddta hai
    Yaaro !
    Inhi chehmagoiyon k saffaak aur
    Aahani naakhunon se
    Dilon pe kuch aaisi kharaashein ubharti hain
    Jin se
    Ye shaffaaf sheeshe bhi dhundlaane lagte hain
    Aaise mein wo aks
    Jo k abhi
    Theek se dil k sheeshon pe
    Ubhra bhi na tha,
    Wo jazba k jis ne
    Abhi dil k sheeshon ko
    Rangeen qaus-e-qaza bakhshni thi
    Jila bakhshni thi
    Ubharne se pehle hi
    Yaaro !
    Kharaashon ki is bheerr mein
    Wo sisakta hua
    Torr jaata hai dam
    K zamaana bohat door tak soch leta hai.

  2. #2
    normally aisa hota hai...v.nice imagination....thanks 4 sharing....:up;



  3. #3
    waffa dear.. please dont stop your posting here... its wonderfull :thumbs:

  4. #4
    wonderful poem waffa keep on sharing sir

  5. #5

  6. #6
    thnkz u all frends.........4 likin stuff here keep

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •