Results 1 to 3 of 3

Thread: Aangan Ke Mere Neem Dhoop Jala Rahi Hae Muje

  1. #1
    GHAZL

    AANGAN KE MERE NEEM DHOOP JALA RAHI HAE MUJE
    KISI KI GARAM BAHOON KI YAAD DILA RAHI HAE MUJE

    GIR RAHI HAE DAR SE NIKAL KAR MUJH PAR YEH DHOOP AISE
    JAISE KOI CHAIN KI NEEND WOH SULA RAHI HAE MUJHE

    KAHIN DOOR SE WOH LAI HAE EK MAE AJAB SI
    JO NAZAROON SE MERI WOH PILA RAHI HAE MUJHE

    DIN DHAL GAYA HAI WO JA RAHI HAI CHOR KAR MUJHE
    MAGAR YOON JATE JATE KHOON KI ANSOO RULA RAHI HAI MUJHE

    CHALO AB TO SHAAM HO GAYI HAI SHAHZAIB
    LAGATA HAE KEH DAYAN-E-TANHAI PHIR BULA RAHI HAE MUJHE

    (SHAHZAIB KHAN)

    mene yeh ghazl apne astaan ke aangan par dhoop girte dekhte likha, waqt asr or maghrib ke beech ka tha... aap soch sakte hain kin jazbaat mein aa kar meine is ko lokha ho ga.............
    shahzaib khan

  2. #2
    mashaALLAH ...yeh bhi bahut achi likhi hai...akasi achi ki gayi hai...welldone..:up;



  3. #3
    Quote Originally Posted by RAHEN, post: 274307
    mashaALLAH ...yeh bhi bahut achi likhi hai...akasi achi ki gayi hai...welldone..:up;
    SHUKARYAA!

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •