Shaam se subah ka safar kat ta nahin
Din to guzar jata hai shab magar dhalti nahin

Ik be-chaini se rehti hai dil main
Jab hoti tujh se mulaqat nahin

Tere ishq ne kia bekaar mujhe
Warna pehli thi yeh baat nahin

Manane ki tujhe nobat na aaye kabhi
Aisi to apni koi khuwahish hai nahin

Teri aankhon main hum to doob chuke
Ubharne ki ab humain aarzoo nahin

Haathon main jo haath tera thaam liya
Yeh saath kisi surat ab chorna nahin

Kuch to ayan ho jaye haal-e-dil
Alfaz ada karna zaroori to nahin

Yeh daastan-e-hayat hai HASSAN ki
Aisa kahin koi aur to nahin?