kamaal-e-zabt ko Khud bhi to aazamaa_uu'Ngi
maiN apane haath se us kii dulhan sajaauu'Ngi

supurd kar ke use chaa.Ndanii ke haatho.n
maiN apane ghaR ke aNdherooN ko lauT'aa'uNgi

badaN ke karb ko vo bhi samajh na paayegaa
maiN dil meiN rouu'Ngi aaNkhoN meiN muskura'uuNgi

vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saaRe lutf gaye
maiN kis se ruuTh sakuuNgii kise manaa'uNgii

vo ik rishtaa-e-benaam bhi nahiN lekiN
maiN ab bhi us ke ishaaroN pe saR jhukaa'uNgi

bichhaa diya thaa gulaaboN ke saath apnaa vajuud
vo so ke uThe to KhvaaboN ki raakh uThaa'uNgii

ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
maiN kis kii nazm akele meiN gun'unaauNgii

javaz DhuuNDh rahaa thaa naii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke maiN us ko bhuul jaa'uuNgii