ek sham Mirza Galib ke dost unse milne aye dono kafi deir tek baten kerte rahe jeb wo saheb jane ke liye uthe teb tek raat ka andhera phail chuka tha islire Mirza saheb chirag utha ke derwaze tek unke piche gaye, unke dost ne ye dekha to bole " are qibla apne kyun zehmet ki main apne jute khud hi pahen leta" to Mirza Galib bole " main ye chirag isliye utha ke nahi laya ki apko jute dikha sakon belki isliye laya hon ki kahin andhere me aap mere jute na pahen ke chale jayen"