Results 1 to 3 of 3

Thread: Izhaar-E-Dard Jaan Na Karon

  1. #1
    Kisi K Samnay Izhaar-E-Dard Jaan Na Karon
    Idhar Udhar Ki Keho, Zakhm Dil Ayaan Na Karon
    Laga K Aag Badan Main, Woh Mujh Say Chahta Hai
    K Saans Loon Tu Fizza Ko Dhowan Dhowan Na Karon
    Main Is Ko Parhta Hoon Anjeel-E-Aarzoo Ki Tarhan
    Samajh Main Aye Tu Maayeini Har Ek Bayan Na Karon
    Ghazab Hai, Mujh Say Tawaqqa Zamana Rakhta Hai
    K Paa Shakstgi Main Ranj Raftgaan Na Karon
    Yeh Hukum Mujh Ko Mila Qasray Khusrawi Say, K Main
    Faghaan Sunoon Magar Andaaz-E-Faghaan Na Karon
    Mazay Say Sooyon Agar Hath Aye Shaam-E-Faraaq
    Main Aik Lamha Bhi Is Shaab Ka Raayghan Na Karon

  2. #2
    Laga K Aag Badan Main, Woh Mujh Say Chahta Hai
    K Saans Loon Tu Fizza Ko Dhowan Dhowan Na Karon

    ...wow...very nice

  3. #3
    thank u for likinh sis

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •