Page 10 of 11 FirstFirst ... 891011 LastLast
Results 91 to 100 of 107

Thread: !! Poem On Musharaf ChaCha !! Exclusive

  1. #91
    Quote Originally Posted by moments, post: 294887
    bro bro bro!
    i know media apni azadi ka kuch najayaz faida b utha rahi hai...
    kuch cheezen aisi b hoti hai jo nahi dikhani chahiye...
    per jab awam ko pata hi nahi chale ga k un k saath kiya kya ja raha hai...
    tu wo jage gi kaise...hamesha her hukrmran hamein khata raha...
    Musharaf ne itne bure kaam nahi kye...per hum ab hamesha ki tarhan khud ko piste howe nahi dekhna chahte...ap log dekhte ho...k womens ko haqooq mil rahe hein...dosre countries k realtions ache ho rahe hein..Pakistan become atomic power...yeh ho raha hai woh horaha hai...europ ki naqal ki ja rahi hai..per ager pak ko europ jaisa banana hai tu jo roads toti hein woh kyun nahi sahi hoti...jo jagha jagha tora hai...us ka hal kiya hai...jo berozgari hai us ka kiya...paisa udher kyun nahi lag raha in fazool cheezon per kyun...ab ager log samjhna shro howe hein or apni awaz bland kerte hein tu us mein harj hi kiya hai...

    Musharaf tu yeh darr b hai k ager wo wardi utare ga tu simple citizen ban jaye ga or army se relation toot jayee ga...or us ki sarkar dhoob jaye gi..
    hamein bas army se chir hogayee hai...sara paisa army per lag raha hai...
    jo b officer retired hota hai usay bangla or bari se pension or car milti hai...
    or wo sari life beth ker aish kerta hai...or bechara gareeb admi wahin k wahin betha hai...WE WANT CHANGE !!
    roads waghaira sab theek kiye ja rahe hain magar yeh project buhut time lega khaas tor pe pakistan mein aur karachi jaise sheher mein coz of a lack of newer technology.. aur berozgari ki baat.. well business start karne ki koshish karo.. chahe jitni bhi choti hi kyun na ho.. and sirf degree le ke nahin baitho.. degree lete lete contacts banao..
    ku ka aik student hai.. last sem us ka final sem tha.. advertising major.. aik advertising pe report nahin bana saka woh.. he asked me for help and i directed him towards an advertising agency.. n bajaye is ke ke khud se banata report.. ad agency mein mere aik dost se bani banayii report le ke submit ki us bande ne.. aisi harkaten karenge students, professional students, to phir job kahan milegi?
    plus aap university mein hote hain to instead of socializing and running after girls, and instead of just cramming books.. work on making contacts.. work on your business networking.. yeh buhut kam log karte hain and then they blame the government.. government sirf itna kar sakti hai ke pakistan mein investment karna aasan kar sakti hai.. nothing more.. is ke aage its up to the existing companies here to avoid nepotism and hire people on merit.. jo aahista aahista horaha hai but our workforce is larger than the opportunities.. is ka hal yehi hai ke we start more businesses here..
    army ko jo cheezein mil rahi hain.. main manta hoon ke woh buhut ziyada hai.. bangla aur gari waghaira.. magar yeh har kissi ko nahin milti.. idher nepotism ajata hai kaafi heavy.. and paise theek jagah hi lag rahe hain.. is liye gradually hum log changes dekh rahe hain.. ziyada tar changes itne major hain ke they will take place over 10 or 15 years or maybe even more.. foran kuch nahin ho sakta.. kaafi time lagega..
    n he's not getting out of his uniform and not leaving the army coz jahan us ne army ko chora wahan us ki authority khatam hone lag jayegi.. abhi sirf is liye woh itna effective raha hai system ko modify karne mein coz us ke paas army ki backing hai.. no one has the guts to try to kill him or overthrow his govt with false pretexts.. jaise hi woh army chorega.. ya to he'll be assassinated, or his government will be over thrown..

    None of us will ever accomplish anything excellent or commanding except when he listens to this whisper which is heard by him alone.
    -Ralph Waldo Emerson



    Latest Blog Entry:
    Twists & Turns...

  2. #92
    Quote Originally Posted by RAHEN, post: 294684
    Endurer brother: Please No personal attacks.
    Sis, that wasn't a personal attack. I asked an honest question based on my knowledge of these infidels.


    Quote Originally Posted by RAHEN, post: 294684
    and yes kindly don't discuss out of topic else I will delete it.
    I apologize, but my dad is this and my dad did that wasn't exactly on topic. Nevertheless, accept my apologies.
    Dream, I do.

  3. #93
    Quote Originally Posted by Quiet Whisper, post: 294893
    roads waghaira sab theek kiye ja rahe hain magar yeh project buhut time lega khaas tor pe pakistan mein aur karachi jaise sheher mein coz of a lack of newer technology.. aur berozgari ki baat.. well business start karne ki koshish karo.. chahe jitni bhi choti hi kyun na ho.. and sirf degree le ke nahin baitho.. degree lete lete contacts banao..
    ku ka aik student hai.. last sem us ka final sem tha.. advertising major.. aik advertising pe report nahin bana saka woh.. he asked me for help and i directed him towards an advertising agency.. n bajaye is ke ke khud se banata report.. ad agency mein mere aik dost se bani banayii report le ke submit ki us bande ne.. aisi harkaten karenge students, professional students, to phir job kahan milegi?
    plus aap university mein hote hain to instead of socializing and running after girls, and instead of just cramming books.. work on making contacts.. work on your business networking.. yeh buhut kam log karte hain and then they blame the government.. government sirf itna kar sakti hai ke pakistan mein investment karna aasan kar sakti hai.. nothing more.. is ke aage its up to the existing companies here to avoid nepotism and hire people on merit.. jo aahista aahista horaha hai but our workforce is larger than the opportunities.. is ka hal yehi hai ke we start more businesses here..
    army ko jo cheezein mil rahi hain.. main manta hoon ke woh buhut ziyada hai.. bangla aur gari waghaira.. magar yeh har kissi ko nahin milti.. idher nepotism ajata hai kaafi heavy.. and paise theek jagah hi lag rahe hain.. is liye gradually hum log changes dekh rahe hain.. ziyada tar changes itne major hain ke they will take place over 10 or 15 years or maybe even more.. foran kuch nahin ho sakta.. kaafi time lagega..
    n he's not getting out of his uniform and not leaving the army coz jahan us ne army ko chora wahan us ki authority khatam hone lag jayegi.. abhi sirf is liye woh itna effective raha hai system ko modify karne mein coz us ke paas army ki backing hai.. no one has the guts to try to kill him or overthrow his govt with false pretexts.. jaise hi woh army chorega.. ya to he'll be assassinated, or his government will be over thrown..
    lagta hai ap bhut saaf sukhre alaqe mein rehte hein...roads kahin b sahi nahi kiye ja rahe hein...hum itna paisa sports per lagate hein..or blah blah...apne mulq ko saaf rakhne b ker sakte hein...are bhai her koyee apki karhan busniss tu nahi ker sakta or ek admi ki wajha se baqiyon ko tu na kuch kaho...bussnis k liye b paise chahiye hote hein...contacts:ek aam admi ab kaise contact mein rahe..wo tu study k doran information leta rehta hai per jab practical life mein ata hai...tu bechara phas sa jata hai wo kaam nahi milta jis ka wo ahal hota hai...or chote mote kaam ker k guzara kerta hai...kher sab log yehi baat leker bethe hein ko wo wardi utare tu log usay mar dalein gein..are bhai itna hi bura insaan hai k log usay mar dalein...us k supporters ne tu abhi se us ka saath chor diya hai...
    Pak mein changes mein tu bhut time lage ga...per kisi tarhan better start tu kiya jaye...per paisa tu bahir se import kerne or bare logon per istamal ho raha hai...mein 1 hafta bemar raha tha is ganday pani ki wajha se...jo her jagha khara rehta hai...mera accident hoagaya tha pichlay maheene yeh jo sarke toti howi hein...pollution se mera dam dukta hai...jo pak mein her jagha apko mile gi...tu kiya karo pak chor ker europ chala jaoon...but ager 1,1 banda bhi awaz uthaye ga tu shayed hum kuch change la sakein...
    kher ALLAH hi madad kare hamari...but hum apne leaders se khush nahi hein..

  4. #94
    khawab:no more discussion on this

    brother:

    bilal: yeah halat kharab hain...kyunki job nahi hain...farigh/educated bahut hai wahan par...there will be a difference once many job opportunities enter in their lives and also of the ppl who are just 2-3 years away from getting jobs...



  5. #95
    well jahan tak roads ki baat hai...chalo maan liyya k development ho rahi hai roads ki construction ho rahi hai yah 3 din ka kaam bhi nahi hai...laikin development to tab ho na jab app poora pakka nizaam qaim karoo...abhi yahan road bannay hafta nahi guzray ga k telephone wallay aa k road ko tahas nehas kar daein gay je kuch fibres bichani hai...ya gas pipelines wallay aa jaein gay k je pipes leak kar rahi haein ...ya wasa wallay aa jaein gay...so within months woh road laggay ga he nahi k kabhi banni bhi hai...ya zara aandhi chali udhar light ghaib ...phir ghantoon tak light nahi aay ge...agar development ki baat kar rahay ho...to sirf karachi lahore ya islamabad k liyay he development hai baki cities ka haal daikh lo...wahaan to kissi ko koi poochnay walla he nahi hai...development k naam pay paisa liyya aur yah ja woh ja koi pata he nahi k paisa gayya kahan...aur rahi baat employment ki yah jo national internship programme ka shosha choora gayya hai...no doubt k kuch logoon ko milli haein internships...but bohat soon ko nahi milli...aur jinn ko milli un may say already kuch loog employed haein...and they are taking it as a part time job...kuch jaghoon pay yah haal hai k internee ko yah nahi pata mera boss koun hai aur boss ko nahi pata mera internee koun hai...har minsitry may 70-100 loogoon ko bhaija ja raha hai aur wahaan jagah he nahi hai bithanay ki...agar ham baat kartay haein development ki to phira planning kahan hai...planning k baghair to development ho he nahi sakti...aur rahi baat yah k contacts bananay chahiyay ...to yahan loogoon ka jab apna mutlub nikal jaata hai na to koi nahi kissi ko pochta...iss baat ko maein nay khud practical life may aa k observe kiya hai...sab jagah pay internal recruitments hoti haein sirf formality poori karnay k liyay aik add day diyya jata hai...aur aisa meray saath bohat baar ho chukka hai...10 jaghoon pay apply kiya sirf aik say call aai...baki 9 ka pata challa g wahaan to already rakh liyya gayya hai...interview k liyay bullanay ki bhi zehmat nahi ki jaati...

    aur rahi baat army ki ...to ajj pooray pakistan may unn ko jo jagah khali nazar aati hai wahaan unn ki housing societies bann jaati haein...yahan nafrat army say nahi hai...army ka kaam mulk ko bachana hai na kay apnay he mulk ko fatah karna hai

  6. #96
    Quote Originally Posted by Muzna, post: 294862
    gari sab say nai kiya ...har saal nayya model ghar may aata hai...aik ghar may 6 6 gaariyyaan haein...roads ki halat daikho to lagta hai k agar aglay kuch years tak yahee haal raha to jiss jagah 15 minutes may pohancha ja sakta hai wahaan 2 ghantay lagga karaein gay
    u'll juz making me luaff .. i've been to london .. i'm living in manchester .. aur es country ke paas paise ki koi kami nahi .. congestion idhar bhi hai .. mujhe jo rasta 15 minute lagta hai raat ko janay main .. subha main wohi distance 1 and a half hours .. (YES!!! 1 hour and 30 minutes) lagte hain ..

    and to be frank .. main yeh sab comments parh ke heran nahi ho raha .. i know humari thinking kaisi hai .. koi shaks koi acha kaam karta hai .. we just cant appreciate it .. nah ki sirf us main kiray nikalein gey .. balkeh os ko aur bura bhala kahein gey ..

    i've read in this very thread ke jab musharaf ne ana hota hai toh ghanta ghanta traffic block rehti hai .. for GOD sake ppl .. i've lived in KSA .. jab unke PRINCE (yeh juz a PRINCE, jo state official ho) os ne ana hota hai toh tab bhi traffic block rehti hai ..

    Cheif Justice ke issue pe bhi kisi ne baat ki .. i dun wana go off-topic per i'll say one thing .. hum log President pe ilzaam laga rahe hain (he might be wrong) per mera sawal yeh hai ke agar aik mulk ka President yeh sab kar sakta hai toh chief Justice kis tarhan doodh ka dhula ho ga ???
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  7. #97
    Aadi Bro!
    sab logon ne ek hi rat laga rakhi hai...
    "koi shaks koi acha kaam karta hai .. we just cant appreciate it"
    athir aisa kiya ker diya Musharraf ne......
    well koyee b kaam ho is mulk mein planning k saath nahi hua..chahy wo dosre hukrmrano ne kiya ho...yan khud Musharraf ne...koyee changes nahi ayee...
    Aj b 10 gantey light off rahi...or temperature 50 degree tha...
    itne saal hogaye hein Mushharaf ko load shading k liye koyee proper planning nahi ho saki...
    roads per bhi ahista ahista kaam ho raha hai...per waqti...itne daway kiye they Musharraf ne pichly election mein...sab jhoot...pata nahi ap logon ko kiya changes nazar ati hein bahir bethe..jahan apko koyee takleef nahi hai..
    ap k prince k liye security hoti hai tu wo apke dard ko samjhta bhi tu hai...
    hamare prince tu sirf khana jantey hein...ise ap compare nahi ker sakte...
    jab hamare prince hamare samne hamein lote gein tu hamara khon ko jale ga na...
    kher ap kahan samjhey gein k "aam admi" ka dard kiya hota hai...abhi bhi hamein gareeb mulk hi samjha ja raha hai...sirf in leaders k wajha se...
    "Enough is Enough..."

  8. #98
    Quote Originally Posted by RAHEN, post: 295101
    bilal: yeah halat kharab hain...kyunki job nahi hain...farigh/educated bahut hai wahan par...there will be a difference once many job opportunities enter in their lives and also of the ppl who are just 2-3 years away from getting jobs...
    yehi tu mein keh raha hon...bcoz of Govt...

  9. #99
    Quote Originally Posted by moments, post: 295275
    Aadi Bro!
    sab logon ne ek hi rat laga rakhi hai...
    "koi shaks koi acha kaam karta hai .. we just cant appreciate it"
    athir aisa kiya ker diya Musharraf ne......
    well koyee b kaam ho is mulk mein planning k saath nahi hua..chahy wo dosre hukrmrano ne kiya ho...yan khud Musharraf ne...koyee changes nahi ayee...
    Aj b 10 gantey light off rahi...or temperature 50 degree tha...
    itne saal hogaye hein Mushharaf ko load shading k liye koyee proper planning nahi ho saki...
    roads per bhi ahista ahista kaam ho raha hai...per waqti...itne daway kiye they Musharraf ne pichly election mein...sab jhoot...pata nahi ap logon ko kiya changes nazar ati hein bahir bethe..jahan apko koyee takleef nahi hai..
    ap k prince k liye security hoti hai tu wo apke dard ko samjhta bhi tu hai...
    hamare prince tu sirf khana jantey hein...ise ap compare nahi ker sakte...
    jab hamare prince hamare samne hamein lote gein tu hamara khon ko jale ga na...
    kher ap kahan samjhey gein k "aam admi" ka dard kiya hota hai...abhi bhi hamein gareeb mulk hi samjha ja raha hai...sirf in leaders k wajha se...
    "Enough is Enough..."
    I keep getting the feeling that you're trying to politicize this whole thing without referring any political party :s
    moments yaar, listen.. first n foremost, we have stayed abroad but that doesnt make us any different from you..
    secondly, aam aadmi tum keh rahe ho jin ko.. those ppl earn more than us.. nadeem khan ka pata hai? that guy has 2 Ferrari's here.. and countless other cars.. roz idher karachi mein mujhe bmw's dikhti hain n jahan dekho wahan land cruisers dikhti hain.. kia yeh bhi aam aadmi hain?? idher pakistan mein hi rehte hain yeh log bhi.. in mein se kissi ko tum ne rok ke aaj tak kuch kaha ke woh jo itni mehengi car khareed rahe hain aise to us aik car ki jagah kuch paise us mein se zakat mein de den ya koi charity mein de den?
    the thing is, main idher karachi mein hi hoon.. and mujhe development dikh rahi hai.. about those princes in saudia.. those guys dont give back to the country as much as they fill their pockets bro..
    un ke paas lamborghinis hain ferrarris hain hum udher 1980's ki gaariyan chalaate hain.. our family cars.. to aayenda please yeh mat kehna ke hum logon ko pakistan mein kia hota hai us ki khabar nahin hoti ya hum koi prince ya kuch hain.. hum bahar jis tareeqe se rehte hain is ki tumhen shayad idea nahin hai.. in saudi arabia, pakistani's are treated worse than third citizens.. we work harder than saudis but we barely get paid half of what saudis are paid.. and aadi here.. he works 2 jobs and also studies full time, and he pays for his university and bills himself.. do you do that?
    aayenda please dont try to even point in this direction..
    rahi baat musharraf ki, he did do quite a bit, he laid the ground-work for the development in karachi and other parts of pakistan..
    yeh jo power outages ki baat kar rahe ho.. is liye horahi hain yeh coz kesc didnt plan for this before hand.. yeh un ka kaam tha plan karna.. musharraf ka nahin.. dont blame him for something he's already delegated to someone else.. its a system here.. not a single person's rule.. n pakistan mein jo system hai, that is faulty.. us ko theek kardo.. sab khud theek hojayega..

    in reply to muzna's comments.. roads bante hain, and phone lines ke liye ya gas lines ke liye log aa ke khod dete hain.. is musharraf responsible for that or are the people who have been given the responsibility for doing all this responsible for it? musharraf's task isnt to do all this himself, the president or prime minister just direct their people to direct the relevant organizations and departments to do something.. its their duty to figure out what they need to do..


    and another thing, kesc privatize ho chuki hai.. so contact kesc's managing director agar aap ko complain karni hai to instead of griping about musharraf coz that poor guy cant do anything now.. its out of his power.. kesc ke md ka number mil jata hai through 17.. my cuz got his number once.. she has it written somewhere.. agar kal mujhe yaad raha to main khud tumhen de doonga..

    None of us will ever accomplish anything excellent or commanding except when he listens to this whisper which is heard by him alone.
    -Ralph Waldo Emerson



    Latest Blog Entry:
    Twists & Turns...

  10. #100
    Quote Originally Posted by moments, post: 295275
    Aadi Bro!
    sab logon ne ek hi rat laga rakhi hai...
    "koi shaks koi acha kaam karta hai .. we just cant appreciate it"
    athir aisa kiya ker diya Musharraf ne......
    well koyee b kaam ho is mulk mein planning k saath nahi hua..chahy wo dosre hukrmrano ne kiya ho...yan khud Musharraf ne...koyee changes nahi ayee...
    Aj b 10 gantey light off rahi...or temperature 50 degree tha...
    itne saal hogaye hein Mushharaf ko load shading k liye koyee proper planning nahi ho saki...
    roads per bhi ahista ahista kaam ho raha hai...per waqti...itne daway kiye they Musharraf ne pichly election mein...sab jhoot...pata nahi ap logon ko kiya changes nazar ati hein bahir bethe..jahan apko koyee takleef nahi hai..
    ap k prince k liye security hoti hai tu wo apke dard ko samjhta bhi tu hai...
    hamare prince tu sirf khana jantey hein...ise ap compare nahi ker sakte...
    jab hamare prince hamare samne hamein lote gein tu hamara khon ko jale ga na...
    kher ap kahan samjhey gein k "aam admi" ka dard kiya hota hai...abhi bhi hamein gareeb mulk hi samjha ja raha hai...sirf in leaders k wajha se...
    "Enough is Enough..."
    bijli ka masla pakistan ka kafi porana hai .. koi nai baat nahi .. pakistan main bijli paida karne ke koi ziada tareeqe nahi hain .. ji .. i'm talking bout Dams .. aur main os pe mazeed baat nahi karon ga .. cuz woh apne aap main aik pori behus hai ..

    aur bhai .. her koi sone ka chamcha le ke nai paida hoa .. nah main kisi minister ki ulaad hon .. aur nah he mere walid sahib koi doctor ya engineer hain .. baat sirf itni hai .. main bahir rehta hon .. es liye andaza hai baki duniya kaise basti hai!

    I'm again repeating .. main yeh nahi keh raha musharaf sab khud dhoodh le dhulay hain .. but all i'm saying is .. atleast he has given a kick that no one was able to do for past 10 years!
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •