Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 14

Thread: "Pakistan" main kuch nahi hai!

  1. #1
    plz dun say u haven't listen this statement in ur whole life! zindagi bohat bari hai or is bari zaindagi main jitnay bhi pal aap nay guzaray hain aap nay yaqeenan kissi na kissi na shukray k moo se yeh ilfaz sunay hongay!
    nd believe me
    maine yeh apni family k mooh se bhi sunay hain!
    i call them nuffin' but "nashukray"
    aap nay yeh bhi suna hoga ( bohats e logon se)
    hum yahan se chalay jayen gay. yeh mulk hamain kuch nahi deta siwaye mayoosiyon aur gurbat k...

    well wat do u want to say abt those na shukray personalities!
    have u ever seen them???
    let's talk abt them!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  2. #2
    Mujhe yaad aaraha hea ke Hakim Saeed( Marhoom) nay surah Rehman main jittni nematoon ka ziker kiya gaya hea uss per resrch ki thi, aur woh iss anjaam per pohnche thee ke Iss Suraah main jittni bhi naymatoon ka zi ker hea( like Mountains, deserts, flowers ...) woh sub ki sub pakistan main majood hain, tou yeh baat tou bekaar hea ke pakistan main kuch nahi hea.Dunnya main ittne haseen mulkh bauth kum hain jittna hamara mulk hea. Haan darasal loog tung aachuke hain yahan ke system say. Hamare leadrs, police, sahafi hazraat, n even hum khud bhi iss ke kasoor waar hain. J.F Kennedy nay ekk mertaba kaha tha ke" ... ask not what your country can do for you, ask what you can do for your country". He was so right.

  3. #3
    ji yehi tau main keh rahi thi... hum yeh kiun nahi sochtay k hum nay pakistan ko kya diya hai??? aise shoday ho kar sochtay haink apnay ilawa kissi ka khayal hi nahi aata

    aise log jo abroad main settle hain na.. maine kayee bar suna hai k woh chahtay hain k hum apna burhapa pakistan main guzarna chahtay hain ... yani they want to be buried in pakistan..
    un logon se mian tau kahoon gi k wo wahin rahain.. pakistan ko un k burhapay ki zaroorat nahi hai. pakistan ko unke jawan khoon ki zaroorat hai... unko akhri umar main wahan ki sardi achi kiun nahi lagti??? woh yahan ki garmi main kiun aana chahtay hain???
    nashukray log...
    wesay bhi kissi bhi mulk main kuch nahi hota .. har mulk aik matti ka tukra hi tau hota hai... jo kuch us mian hota hai woh us main basnay walay log hain...khamiyan logon main hoti hain milk main nahi. like manni hai said k pakistan main sab kuch hai . har achi nemat hai... par yahan k log kharab hian.. yeh frustrated log hain.. shortcut marna chahtay hain... par inki in khamiyon ka sign board mulk ko utha k kiun phirna parta hai...
    well bhia u said k leadrs, police, sahafi hazraat ... aik kism k log aur bhi hain . aur woh hain MOLVI hazrat!
    well main deen ko bura nahi kehti hoon!
    but u know ajkal aik khabar chal rahi hai k Quaid was non muslim!.
    well , yeh batain tau har zamanay main hi chalti rahin hain...aur in logon k kya kehnay???
    agra aisa hai tau aise hi sahi. main tau phir bhi us personality ko hi pasand karoongi jiss nay deen pay amal kiya..
    yeh log sirf din ki batain kartay hain. practical jis k paas tha haimain maloom hai...
    yeh log lambay choghay aur dastarain pehn kar hamain azadi nahi dila sakay... tau hum kya karain???
    hamain kissi nay pant suit pehn kar cigar p kar azadi dila di tau humain is se zyada aur kya chahiye...
    yahan k log hi kharab hain.. hamara leader kharab hota na... tau wo is tarah na marta...
    aik kharab ambulance main...
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  4. #4
    Quote Originally Posted by glimmering_candle, post: 309132

    aise log jo abroad main settle hain na.. maine kayee bar suna hai k woh chahtay hain k hum apna burhapa pakistan main guzarna chahtay hain ... yani they want to be buried in pakistan..
    un logon se mian tau kahoon gi k wo wahin rahain.. pakistan ko un k burhapay ki zaroorat nahi hai. pakistan ko unke jawan khoon ki zaroorat hai... unko akhri umar main wahan ki sardi achi kiun nahi lagti??? woh yahan ki garmi main kiun aana chahtay hain???
    nashukray log...
    Well herr insaan ki apnni mjboorian hooti hain, pakistan main even dunnya ke kissi bhi country main sub ko baraber ki possiblities nahi milltin. Hamare politicans wadere officers waghera ghareeb loogon ki zindigi ajeeran ker dete hain.aap kya kehti hain unn loogon ko koi haq nahi hea achi zindigi guzarne ka?
    Doosray countries main pese tou millte han but woh 3rd class citizens hi rehte hian, aur back in our country bhi log nafrat ki nazer say dekhte hain :s
    I don't understand ke ittni nafratain kyun?
    Kya aap jaanti hain ke jo loog foriegn main rehte hain kittne texes bherte hain pakistan ko?( when they send money to their families

  5. #5
    acha ?? tau phr woh jatay hi kiun hain???
    or jahan tak rahi in waderon waghera ki baat tau inhi logon ki wajjah se tao hum apni positions clear nahi karwa paye!
    dekhain agar hum kissi system ko badalna chahtay hian tau hamain pehlay us system ka hissa ban'na parta hai.. is tarah jaan chura k bhagnay se kuch nahi hota... halat ka muqabla karna chahiye naa ... istarah bhagna tau nahi chahiye...
    hum logon ko khud tau facilities mil jati hain tau hum apna mulk chr k bhag jatay hain aur apnay mulk k logon ko yahan tarasta hua chor detay hain!
    aur woh jo wahan chalay jatay hain mian un ko rokti nahi hoon par wapis tau ayen naa...
    aise logon ka kya faida.. in ka hona ya na hona barabar hota hai.. burhapay main aa kar samjhtay hain k ehsan kar rahay hain...
    jab wahan pay maslay aatay hain tau phir wapis kiun aatay hain yeh log???
    wahin rehna chahiye...
    yeh log na idher k rehtay hain na udhar k!
    aur phir kehtay hain k pakistan nahi hamari qadar nahi ki!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  6. #6
    Pakistan mein to ab bhi bohat kuch hai, Pakistani's mein kuch nahi hai.
    Dream, I do.

  7. #7
    well, i fink k hamian apnay andar kuch na kuch abilities to lani hi chahiyen!
    wOrK SmaRt NoT HaRd......

  8. #8
    For All Na-shukrays.

    Quote Originally Posted by glimmering_candle, post: 308809
    plz dun say u haven't listen this statement in ur whole life! zindagi bohat bari hai or is bari zaindagi main jitnay bhi pal aap nay guzaray hain aap nay yaqeenan kissi na kissi na shukray k moo se yeh ilfaz sunay hongay!
    nd believe me
    maine yeh apni family k mooh se bhi sunay hain!
    i call them nuffin' but "nashukray"
    aap nay yeh bhi suna hoga ( bohats e logon se)
    hum yahan se chalay jayen gay. yeh mulk hamain kuch nahi deta siwaye mayoosiyon aur gurbat k...

    well wat do u want to say abt those na shukray personalities!
    have u ever seen them???
    let's talk abt them!
    NA SHUKRAY PERSONALITIES nice topic.
    Main un na shukron ko batana chahtey hoon key Pakistan ne unhein kiya diya.
    1. NATIONAL IDENTITY.
    2. FREEDOM.
    3. INDEPENDENCE.
    4. A LIFE.

    Agar yeh na hota to zahir hai, aap slaves hotey. In sub key bagher aap key paas kuch na bachta.

    main eik aur baat clear kar doon, key main bhi taney deti hoon, lekin Pakistan ko nahin, iss sarzameen per jo burey log hain un ko.
    And now somehow all that's left are pieces of a...

    The faded photographs,
    The frames of broken glass,
    The shattered memories,
    Time will soon erase,
    All these souvenirs,
    Salt from a thousand tears, :cryss:
    But when I wake up you are never there.

  9. #9
    Quote Originally Posted by criminallz, post: 324061
    NA SHUKRAY PERSONALITIES nice topic.
    Main un na shukron ko batana chahtey hoon key Pakistan ne unhein kiya diya.
    1. NATIONAL IDENTITY.
    2. FREEDOM.
    3. INDEPENDENCE.
    4. A LIFE.

    Agar yeh na hota to zahir hai, aap slaves hotey. In sub key bagher aap key paas kuch na bachta.

    main eik aur baat clear kar doon, key main bhi taney deti hoon, lekin Pakistan ko nahin, iss sarzameen per jo burey log hain un ko.
    Well national identity ke aage yeh bhi tou bataiye ke yeh factor kittna importan role play kerta hea ke aap kon say "Ilakhe" say talukh rakhte hain ?
    unn nashukre loogon ko yeh bhi tou batiye ke hamain ittni freedom hea ke "hakim-e waqt" ke khilaf boolne waalon ka kya haal hoota hea?
    Hum ittne independent hain ke C.I.A and FBI. jub chate hain pakistan main ghuss ker karwai ker jaate hain.
    Oh haan aadhi baat likhi aap nay " A LIFE" jo rich loogon ke liye good hea n poor ppl ke liye jahanum.

  10. #10
    I'd agree with manni bro on the Ilaqa/area system & autocracy. Abhi inqalab mein taizi a rahe hai aur logon ney pehli baar apne baat kehna shuru ki hai. Chahe yeh baat adhori hi sahee, is tehreek ney zor to pakar hi liya hai and you can't deny that. Ab kuch aise log nazar a rahe hein jo khud ko pehle Pakistani or baad mein kuch aur kehte hien.
    Dream, I do.

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •