Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 10 of 22

Thread: kya dukh bantney se kum ho jata hai?

  1. #1
    Assalam aliekum,
    aksar kai dafa suna hai dukh bantney se kum ho jata hai, ya phir dukh share karne se dil halka ho jata hai...i would agree to some extent with the second one...that one does feel good for some time...but wat do u think?
    do u share ur ghum if yes with whom and if u dont then wat do u do?
    i personally dont think sharing is good ... cause if one shares it with many the situation might get worse...so its better sub kuch apni zaat tak he rahe. but yes one does/can share with the one who is closer...but then trust is wat matters.



  2. #2
    Valekum Assalam...
    same here mene bhi kuch aisa hi suna hey ke dukh bantne se kum hojata hey us ki waja ye hey ke koi apke sath humdardi karta hey to ap ko lagta hey ke apka dil halka hogaya... lekin me ye kahoga ke insan ki zindagi mein koi bhi gum ya koi bhi khushi aye to wo sab se pehle ALLAH ko yad kare... Khushi ke lamhat mein ALLAH ka shuker ada kare or Dukh mein bhi ALLAH ko yad kare... sab kuch miljata hey sab sahi hojata hey..

  3. #3
    i will agree with that...me kisi baat ko le kar 2 days se pareshan thi...aur me ne rojou ALLAH ki taraf kia...and now shukar al hamdALLAH ...everything is settled...museebat k lamhat aate hain lekin woh ziada deer tak nahi rehte...mashaALLLAH...



  4. #4
    I read this in a book:

    Keep thy own secret, and do not reveal it to any one. He that makes his secret known it no longer its master. If thy own breast cannot keep thy counsel, how canst thou expect the breast of another to be more faithful?
    I agree to some extent with the above but then again you need someone. Mere khiyal se dukh kam nahi ho jata kissi se share kerne se kyun k woh to utna hi rahe ga, per dil ko sakon zaror mil jata hai yeh jaan ker k you're not alone. Aur haan, yeh sakon har kissi ko batane se nahi milta, at least mujeh nahi. Bas aik khaas shaks hota hai jo apke lie sab kuch ho, yeh batien wohi tak rakhni chahiye.
    Dream, I do.

  5. #5
    aksar kai dafa suna hai dukh bantney se kum ho jata hai:-
    ye baat sahi hai...aur ye kam is liye ho jaata hai kyun k agar aap share kare ge tou sab aapko apni rai de ge...magar humein sab mein apna dukh nahin baatna hota hamein un k saath hi apna dukh baat na chahiye jo close ho aur humarein dukh ko samjh sake aur hamari madad kar sake...tou madad karne se hamara dukh kam ho sakta hai...

    dukh share karne se dil halka ho jata hai:-
    yeh woh person ko keh k dil halka hota hai jo hamein himat dete hai...hum mein jazbah paida karte hai...

    dukh ho tou sab k saath nahi baat na chahiye warna kabhi mushkile zyada hotihai...

    aur yaha dukh har baar nahi baat sakte agar dukh ho jo baat sake wo baatna chahiye warna tou her dukh bata nahi jaatabas apne paas rakh k usey bardaash kiya jaata hai aur ya phir mushkil ka hal dhoondhna parta hai...
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  6. #6
    Aadab
    Ye baat bilkul sahi hai ke dukh batney se kam ho jatey hain
    Us ki waja ye hai k jo bhi dukh aap ko hota hai wo kitna bara hi ku na ho aap jitney logo se shear karey gaye ko utna hi kam hota jaye ga our aik waqt wo aye ga k dukh ka naam o nishan hi nahi reh ga.
    so I advice all DT friend k
    Zindagi main
    Dukh ko - karo
    Khusyoun ko x karo
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  7. #7
    hmm yea dukh bantnee se dukh halka ho jata ha.. hamein tasali dete hein log to we feel light shyd is wajah se halka lagta ha dukh.. warna dukh to wahin rehta ha.. magar logon jabh hamein samghate hein tasaliyan dete hein to light feel karte hein hum

    mein dukh tabh bantti hun jabh hadh se barh jaye warna i pray to GOD .. take wohi mere dukh ko kam kare

  8. #8
    Sach tho yeh hai ke dukh bantne se dil halka hojata hai laiken mere liye sirf temporary hai. Iss duniya mein kohi kissi ke liye nahin hota. Mostly apne upar hi depend karna parta hai. Mein tho thug gahi apni problems sab ko bata ke kyun ke log phir lecture sunate hein joh ke mujhe bilcul pasand nahin. Zyada tar apne paas hi rakhti hoon ab.
    Get off my back

  9. #9
    Quote Originally Posted by Hina87, post: 330511
    Sach tho yeh hai ke dukh bantne se dil halka hojata hai laiken mere liye sirf temporary hai. Iss duniya mein kohi kissi ke liye nahin hota. Mostly apne upar hi depend karna parta hai. Mein tho thug gahi apni problems sab ko bata ke kyun ke log phir lecture sunate hein joh ke mujhe bilcul pasand nahin. Zyada tar apne paas hi rakhti hoon ab.
    Sis phir aap kya chati hain aap kisi ko koi baat batain tou how should they react? Khamoshi say sunlain aur kuch na kahin iss say better tou yeh hea ke kuch na kahin!!
    Ya jo aapki merzi ho woh jawab dain? tou woh jawab tou aap pehle say janti hain iss mamle main bhi share kerne ka faida nahi!!

  10. #10
    Quote Originally Posted by manni9, post: 330513
    Sis phir aap kya chati hain aap kisi ko koi baat batain tou how should they react? Khamoshi say sunlain aur kuch na kahin iss say better tou yeh hea ke kuch na kahin!!
    Issi liye mein ab chup rehti hoon.

    Quote Originally Posted by manni9, post: 330513
    Ya jo aapki merzi ho woh jawab dain? tou woh jawab tou aap pehle say janti hain iss mamle main bhi share kerne ka faida nahi!!
    Ek tho yeh hai ke log kehte hein 'I know how you feel' jab ke ounko kuch nahin pata mere bare mein. Sab phele se hi judge karna shuru hojate hain. Aur aap ne sahi kaha... ab tho bas yehi dil chata hai ke kohi chup ho kar meri baatein sunne.
    Get off my back

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •