Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 11 to 20 of 27

Thread: *~ Spotlessoul in Dt's spotlight ;)

  1. #11
    Walaikum Asalam

    Interview acha tha betta per expectations zara aur ziyada thein

    Mere Questions:

    - Sahi ghalat ka faisla kitna asan ya mushkil hotta hai aap k liye? reasons bhi batayega

    - Faarigh time mein mostly kya karti hein aap?

    - Gar do logon mein se kisi aik ko chunna ho tou kounsi points pe focus kareingi aur kyun?

    - Koi aise asool hein jo tum zaroor follow karti ho? Gar hein tou kounse?

    - Kya aap un logon mein se jinhein lagta hai k sab kuch dekh/samajh liya hai duniya mein ya aqal-e-qul khud ko samajhtey hein. Gar nahin tou aap kya sochti ho is baarey mein woh batayein

    PS: mein kafi neend mein hoon abhi so don't expect anything better than that werna kal aur neend mein new post kardoongi.

  2. #12
    Thankyou Nina sis :giveflower;

    Aur Aapi your questions are like :d K...ee ho poori ki poori I was really surprised But time is not allowing me to do justice with these questions.. I shall be answering them by this sunday,InshALLAH.
    http://www.desitwist.com/signaturepics/sigpic8918_2.gif
    On the new avenue of life, searching out new horizons..

  3. #13
    Okies Hira...mujhe intizar rahega

  4. #14
    Answers of Aapi's questions (I)




    -Sahi ghalat ka faisla kitna asan ya mushkil hotta hai aap k liye? reasons bhi batayega..


    Hmm.. Ba'az auqaat buhat asaan hota hai..jab ke ba'az auqaat buhat mushkil.

    Asaan unn sooratoon main jab wo faisla sirf aur sirf apni zaat ke barey mein leina ho..ya phir kisi ajnabi ke barey main.. ya kissi aisi baat per meray jazbay hissa na hon bulkay meri tarbiyat ya seekhi hoye baton ki involvement ho..

    Aur mushkil unn sooratoon main jab meray apnay ya jinn se muhabbat karti hoon,un ki zindagiyan bhee uss faislay ki lapait mein ayen..Ya phir meray damagh aur dil ka takrao ho.. Ya mere apne ander koi laraye/jang ya uljhao create ho chuka ho..

    Reasons saaf wazeh hain.. Uss waqt meri zaat se ziada ehmiyat unn zindagiyon ki hoti hai jo meray sath juri hoon.Jo muhabbat mujhe unn se hai wo koi bhee faisla akela lenay main sath nahi deti..aur be chaini apne hisaar mein lay leti hai..

    Aisi soorat main .. Allah hamesha meray kuch apnon ko wo uljhao door karne..dhund hatta ke manzar wazeh karne ka zariya banata hai.. aur bai chaini inn dino mein tilawat sun ke door ho jati hai foran..


    - Faarigh time mein mostly kya karti hein aap?


    Ah'am ah'am.. Kissi zamanay main buhat kuch kia kartee thee..Abb tow bas pc tak he mehdood ho ke reh gaye hoon.. Ya phir book-reading..


    - Gar do logon mein se kisi aik ko chunna ho tou kounsi points pe focus kareingi aur kyun?


    Errmm..That actually differs in my real life and my cyber life relations.

    It also gets changed depending on my closeness with both persons.
    If they are strangers or someone i don't know properly.. then usually i consider their attitudes and approach towards life and take suggestions from ones who are closed to me.. If anyone is stranger for me but closed to someone I love, then that person makes her/his place in my life in no time.

    But if.. you are talking abt case in which both persons are closed to me..then it becomes a real tough decision for me.. I then ask help from my ALLAH to choose the correct one and consider behaviours,attitudes,approaches,visions and most of all,respect which i get from them.. And normally,then My ALLAH helps me out by making someone a source to guide me over that issue..and it always clears the confusion in my mind.

    Rest,what i have learned and what i believe is that that when a decision was made out of two, right one was chosen, always..



    http://www.desitwist.com/signaturepics/sigpic8918_2.gif
    On the new avenue of life, searching out new horizons..

  5. #15
    Answers of Aapi's questions (II)



    - Koi aise asool hein jo tum zaroor follow karti ho? Gar hein tou kounse?

    Aik waqt tha jab kuch usool banaye thay meine bhee apni zindagi mein: ) Aur wo main follow bhee kartee rahee hamesha.. untill and unless meri muhabbatoon aur usoolon main se mujhe kisi aik ko chun'na parr gaya tha..

    Rishtay flexibility chahtay hain aur usoolon ki dhund main hum aksar buhat see batain jo humare apnoon se juri hotee hain,nazar andaz kar jate hain..Issi aik baat ko samne rakh ker maine muhabbaton he ko tarj'eeh dee..

    Per agar main apni zindagi per nazar dauraoon tow kuch batain aisi hain... jo abb tak meri zaat ka aik pehlu hain..Unhain main apne asool tow nahi per apni sooch,khuahishat aur approach ka hisa zaroor manti hoon.. Unn main se aik ye hai ke mujhe koi bhee rishta apne ghar walon se chupp kar nahi qaim karna.. Aur har rishtay main behesiyat-e-musalman aur behesiyat-e-larki boundries ka lihaaz bhee rakhna hai.(Aik rishtey main me apne track se hatti tow nahi..per bhool zaror gaye per Allah ne aik buhat he pyaray se apnay ko zariya bana ker mujhe yaad dahani kara dee) Aur aik aur baat jhai.. ke ALLAH ke ilava kisi ke aagay hath phailana ya denay ki umeed rakhna mujhe sakht na pasand hai..Aur mangne main meri jhijak kuch arse pehlay tak itnee rahe key mein apne waldain tak se zarorat ki chez ke bare mein bhee kuch nahi kehti thee.. Farmaish tak nahi hote thee meri koi..Abb kuch arsay se aa ke,jinn se buhat ziada closed hon,unn se pyaar mein farmaesh kar deti hon koi..per unn ki janib se kuch bhee milne ki ummeed bhee ALLAH he ki taraf hoti hai

    Aur baqi..main aaj kal..aik achha musalman ban'ne ki kooshish kar rahee hon..aur aik musalman ke wohi usool o zavabit hotey hain jo ALLAH aur Uss kay Pyare Nabi SallaALLAH Ho Alehi Wasalam ne tayh kiye hain..


    - Kya aap un logon mein se jinhein lagta hai k sab kuch dekh/samajh liya hai duniya mein ya aqal-e-qul khud ko samajhtey hein. Gar nahin tou aap kya sochti ho is baarey mein woh batayein


    Yeh sooch meray khiyalat ka hisa bani thee kuch arsa pehlay.. buhat shiddat sey... per mujhe apna aap aqal-e-qul nahi bulke yeh lagta tha key kamm umri main zindagiyon ke kuch pehl'on ki aagahi meray liye masa'el kharay kar rahe hai..jissay hum "Azaab e shaoor" se tabeer detay hain.. Mujhe lagta tha ke maine itna kuch jaan liya hai ke mazeed jan'ne ki justujo khatam ho rahee hai meray ander jesay..

    Per yeh kefiyat uss waqt aik buhat bari bhool main tabdeel ho gayen jab pay darpay ALLAH meri hesiyat meray samne lay ker aaya.. Aik baar nahi buhat baar : ) Main apne ooper Allah ki nazr-e-karam iss hawale se samajhti hoon ke jab bhee aisa koi khiyaal meri sooch ki haddoon per apna ghar banata hai tow kuch he arsay main ALLAH meray samne halaat ko aisa roop at'aa karta hai key mujhe apni wuq'at ka andaza ho jata hai..Mujhe andaza ho jata hai k mein sirf rait ka putla hoon,jissay ALLAH chahay tow pal bharr mein matti ke dher mein milla dey..wo bhee aisay ke koi naam-o-nishaan na baqi rahay..Mujhe yaqeen ho jata hai ke mein sirf rait kay aik bay zarar zarray ya darakht se alehda ke aik na cheez pattay ki manind hon jissay ALLAH he apne hathon se thaam ker izzat o takreem deta ya..ya soochne ki salahiyat...Wo na chahay tow main kuch bhee nahin hoon..

    Maine jab jab apne aap per sirf bharoosa kia,wo bhe iss tarah ke ALLAH ke reham ko bhool gaye tow uss ka nateeja bhee dekha hai maine Aur yahan tak.. kay maine jab ALLAH kay ghar mein apney aap ko Uss ke naik bandoon main se hone ki ashad khwahish kee tow ALLAH ne buhat se cheezain meray samne wazeh kar deen...

    Issliye aisi koi sooch.. abb meray khialoon main door door tak nahi aati.. : )



    http://www.desitwist.com/signaturepics/sigpic8918_2.gif
    On the new avenue of life, searching out new horizons..

  6. #16
    Thanks for the detailed answers doll

    Per i guess kuch ziyada hi serious hogaya hai interview ab...ab kuch general n light se questions kartey hein. Yasra k questions ka bhi intizar hai...mein bhi kuch kal tak mazeed post karti hoon Aur Nina the host kidher hein? ^o)

  7. #17
    hmm...yes i liked ur replies which are in depth..but i would say ...i think if one wants to change something when it comes to quality...then it is possible...but wat is required is the real amt of willpower..
    and weldone fairy sis and naznein...:up;

    here comes some more...

    1)what do u like about ur self
    2)which advice do u hate
    3)if u made to wakeup from sleep..to do some work..what would be ur reaction?
    4)aap ko achanak chot lag jaye..then what would u say?
    5)how much importance do u give to ur own time?
    6)ur success ?



  8. #18
    Salamz .. kaisi ho meri jaan e man .. :hug2; sholly doll... i was bizzi traveling these days tau appke questions post hi na ker paie...i knw ma bad.. after all im da host :hug2; sholly again...

    1) are u naraj from me for being late ??? :$

    2) When u are angry how do u react and get rid ova it?

    3) Are u stressed?

    4) Jealousy? Are u someone who gets jealous from ppl?

    5) What is u'r raaz of being so creative?

    6) ever wondered what is u'r purpose in life n duniya?

    7) Have u ever been out side of PK? which places... which u liked best?

    8) are u enjoying u'r interview so fast?

    9) Do u like to be center of attention?

    10) Few words for me plz ..
    "The world and all the things in the world are precious but the most precious thing in the world is a Virtuous Woman."
    - Prophet Muhmmad, Sal Allahu 'Alayhi wa Sallam

  9. #19


    Kithay gaee chandani?
    "The world and all the things in the world are precious but the most precious thing in the world is a Virtuous Woman."
    - Prophet Muhmmad, Sal Allahu 'Alayhi wa Sallam

  10. #20
    Nina us k exams chal rahe hein tou i guess busy hai kafi aaj kal. Insha-Allah kuch dinon tak wapis aakey answers post kardegi

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •