Saaman-e-tijarat mera eeman nahi hai,
Har dar pe jhuke sar ye meri shan nahin hai.

Har lafz ko seene mai basalo to bane baat,
Taqo'n mai sajane ko ye "Quraa'n nahi hai,

Allah mere rizq ki barkat na chali jayee,
Do rooz se ghar main mere mehmaan nahi hai.

Humne to samandar mai bhi raste hain banaye,
Yun humko mitana koi aasaan nahi hai.

Main teri mohabbat mai giraftar hoon lekin,
Main tujhko Khuda samjhun ye imkaan nahi hai.

Do chaar ummidon ke diye ab bhi hain roshan,
Hamari haweli abhi veeran nahin hai.