Kisi ne Sheikh Saadi (R.A) se pucha:
"Dost" aur "Bhai" mein kia fark hai?
To Aap ne farmaya,

"Bhai" SONA hai
aur
"Dost" HEERA.

Us aadi ne kaha,
"Aap ne bhai ko kam keemat
aur
dost ko keemti cheez se kyun tashbeeh di?"

To Aap ne farmaya,
"Sonay mein agar daraar aa gae to us ko pighla ker bilkul pehle jesa banaya ja sakta hai,
jab ke Heeray mein aik daraar aa gae to woh kabhi bhi pehle jesa nahi ban sakta".