Results 1 to 6 of 6

Thread: Har aik zakham ka chehra gulab jaisa hai

  1. #1
    HAR AIK ZAKHAM KA CHEHRA GULAB JAISA HAI



    Har Aik Zakham Ka chehra Gulab Jaisa Hai...
    Mager Ye Jagta Manzer Bhi Khuvab Jaisa Hai...


    Ye Talkh Talkh Sa Lehja, Ye Taez Teaz Si Baat...
    Mezaj - E - Yar Ka Aalam - E - Sharab Jaisa Hai...


    Mear Sakhan Bhi Chaman Dar Chaman Shafaq Ki Phuwar...
    Tera Badan Bhi Mehaktey Gulab Jaisa Hai...


    Bara Taveel, Nehayat Haseen, Buhat Mubheem...
    Mera Sawal Tere Jawab Jaisa Hai...


    Tu Zindagi Ke Haqaiq Ki Teh Mein Youn Na Utra...
    K Is Naddi Ka Bhaao Chunap Jaisa Hai...


    Teri Nazar Hi Nahi Hurf-E-Aashna Warna...
    Har Aik Chehra Yahan Par Kitab Jaisa Hai...


    Chamak Uthey Tu Samandar Bhuje Tu Reeat Ki lehar...
    Mere Kheyal Ka Darya Sarab Jaisa Hai...


    Tere Qareeb Bhi Reh kar Na Pa Sakao Tuj Ko...
    Tere Kheyal Ka Jalwa Habab Jaisa Hai...

  2. #2
    Bohat Khoob Mudassir. Keep it up.
    ZINDGI JISEY SAB ILAAJ-E-GHUM JANTEY HAIN
    JIS TARAH HUM NE GUZARI HUM JANTEY HAIN

  3. #3

  4. #4
    this one is also zabardast

    keep on sharing

  5. #5

  6. #6
    Thanx Muzna
    And
    Imran...

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •