KArb k na wafa k hotay hain
saray jhagray ana k hotay hain
wo hamara is trha se hai faiz
jaisay banday Khuda k hotay hain
baat niyat ki sirf hay werna
waqt saray dua k hotay hain
bhool jatay hain mat bura kehna
log putlay khata k hotay hain
Jo bazahir mai kuch nahe lagtay
unse rishtey balaa k hotay hain