Page 2 of 2 FirstFirst 12
Results 11 to 19 of 19

Thread: Obituary: Villies's mother

  1. #11
    Inna lillah wa inna illeh rajioon. Allah unhein janat mein jaga dein Aameen. Housla rakhey Villies, Allah aapko sabar de.

  2. #12
    Inna Lillahe Wainna Ilayhai Rajeoon .. a really sad news .. I just hope you can put yourself together and live through this tough time
    aye dil tu tanhaiyon main rehne ka AaDi hoja.. jinhein tu yaad karta hai wo bare masroof rehte hain..

  3. #13
    Ameen... Endy bro.. ap ne itna kehdia mere lye buhat hey... buhat apnayiat hey ap ki bato mein, mujhe realy buhat acha laga, ye such hey ke mein khud ko buhat akela feel karraha tha lekin ab mujhe aisa nahi lagta... mein janta hu ke ap sab mere sath hain...

    Sonhal,Dedicate,Naila,Fatima,tulip,Manni,Aadi,Nina ,Omar,Hina ap sab log mere sath hain ap sab ne meri mama kelye pray kia... thanxo you so much.. hosakta hey ke ap mein se kisi ek ki bhi Dua qubool hojaye... to un ki Magfirat hojaye.. Ameen

  4. #14
    dekhain bhai ... aap apni aami ko jitna ho saktay parh k un ki rooh k lie duae maghfirt kejye ga plzz meri tou aap ko aik ye he raye hai ore aap apni sisters ore apnay abu ore sab ghar waloon ko hosla dain bcoz day need u dis tym ... so aap bhe Quran Majeed ore sdarood shareef parh k un ko isale swab kjeye ga JAZAKALLAH
    wasalm o alikum warehamtullah

  5. #15
    Inna Lillahe Wa Ina Illayhe Rajioon...
    ALLAH unko Jannat-ul-firdaws Atta farmaye aur unki Bakhshish karay. Aur app ko himmat aur sabar day aur unki dii howie duaa ki badaulat apko lambi zindagi aur saihait atta karay.Ameen.

  6. #16
    May her soul rest in peace, ameen.
    [SIGPIC][/SIGPIC]

  7. #17
    Inna Lillahe Wa Ina Illayhe Rajioon...

  8. #18
    Innalil Lahay Wa-Innal Lahay Rajeoon
    Allah mia aapki ammi ko janat mai jaga ata farmaye aur aapke ghar walu ko himat-o-hausle se nawazay bas sab unke liye maghfirat ki dua karte rahein aur ik surah hai i mean ke dua it is
    ??? ???? ????? (Qadaye Muazam U Mukaram) jis pansure se isay parheinge uske mayinay ismai darj hain
    Ye dua humaray huzoor Salalah u alaihay Wasalam ke liye Hazrat Jibrail (A.S)miraaj ki raat taufa laye teh...Ye dua Allah Tala ne Huzoor ko Inayat ki, ye dua mualak Aasmaan mai sabz Haht se likhi huwi hai aur fawaid iske boht hain, khuda tala ne jab zameen-u-Aasmaan ko paida nahi kia tah tab iske agay Pansoo Baras is Dua ko noor ke worku par likh kar parday mai rakha tah ab hukum hua hai k ab aap aur aapki umat is dua ko parha karein aur aapki umat mai se jo koi ye dua parhay ga usay behisab sawab milay ga aur woh shaqs wali hoga, agar tamam aadmi, pariyan aur pareindu par nad sab mil kar fazeelat is dua ki bayaan karein tu bhi shama iski fazeelat ka bayan na hosakay ga, jo koi is dua ko darya ke safar mai parhay muj-u-taufaan se salamat rahay aur aman-u-amaan se ghar ko aaye aur jo koi sadiq niyat se luhay par parhay tu ajab nahi ke loha bhi pani hojaye aur aag pe parhay tu aag sard hojaye aur Kaghaz Ya kapre par likh kar murday ke kafan mai rakhay tu khudayi tala us banday ko tha rooz qayamat ka azaab na karay ga aur kabar uski kushada hugi aur noor se rushan hogi aur jannat ki khirki us banday ke liye khul jayegi aur jo koi is dua ko kabristaan mai parhay ga tu khuda tala bara hazaar farishtu ko noor ka tabaq day kar un murdu ke paas bhejayga aur azaab-e-qabaran se durr karega aur qayamat ke rooz us shaqs ko hashr ke midaan mai sawari milaygi aur pinay k waastay sarab-e-Tahoor milayga aur us Shaqs ko dekh kar ehlay arsaat kahingay Ya allah ye banday koi pighambar hai ke koi walii...Farishtay Jawab deinge ke ye banda Umat mai hai Hazraat muhammad Salalah-u-Alaihay Wasalam ki aur itni izat iski is sabab se hai ke ye duniya mai Duaye Qadah Parhta tah
    Is dua ki aur bhi kayi fazeelaat hain...par sabse bara iska ye hai ke aap ye dua parh ke apni ammi pe bakhshein takreeban 21 din tuk unki rooh ko sukoon milayga aur janat mai acha mukaam milayga... InshAllah... ye sach waqiya hai mere nana ki wafouth ke baad humare ik janay walay ne unhay khuwab mai dekha aur unhonay bataya ke unhonay kaha hai ke mere liye ik tasbee pori Duaye Qadah ki parh kar mujhpe bakhshu tu aap bhi yehi karein unki maghfirat k liye Allah InshAllah behtar karega...

  9. #19

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •