Results 1 to 3 of 3

Thread: Fursatt na milli...

  1. #1
    Kal fursat na mili to kya karo ge,

    Itni mohlat na mili to kya karo ge,

    Roz kehte ho kal parhon ga namaz,

    Kal agar saans na rahi to kya karo ge…

    Rasam se sunnat achi,

    Neend se namaz achi,

    Gunah se neki achi,

    Bazar se masjid achi

    Fazool baton se quran ki tilawat achi,

    Gheebat se zikar acha,

    Delete se forward acha..


    Namaz jo hum par farz kar di gayi hai...

    Fajar...bister main

    Zohar..naukri main

    Asar...chaye main

    Maghrib...rastey main

    Esha...tv main

    Jumma... sonay main

    Eid...bazaaron main

    Na Durood, Na Quran... Yeh Kaisa Hai (Musalman) ?

    Phir kahtay ho q nahin hai Allah hum par meharban to Namaz parhao is say pahlay k tumhari Namaz parhi jayee...

    Is msg ko itna phela do jitna Allah or us kay Nabi say pyar hai kartay ho ...

    Do something before u expire.

  2. #2

  3. #3
    Ajal Na choda na kisra na dara
    Isise sikander safate behara(pe hara)
    Har ek leke na kya kya hasrat
    Pada rehgaya sab yunhi thaat sara
    Jagah Ji lagane ki duniya nahi hai
    Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai
    Mile khaak mai ahle shaan kaise kaise
    Hue name-war pe nishaan kaise kaise
    Zamin khagayi asmaan kaise kaise
    Jagah ji lagane ki duniya nahi hai
    Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai
    Tujhe pehle bachpan nai barson khilaya
    Jawani ne phir tujhko majnu banaya
    Budhape ne phir aake kya kya sataya
    Ajal tera kardegi bilkul safaya
    Jagah ji lagane ki duniya nahi hai
    Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai
    Yehi tujh ko dhun hai rahun sabse aala
    Wo sinat nirali wo fashion nirala
    Jiya karta hai kya yunhi marne wala
    Tujhe husn-e zahir nai hai dhoke mai daala
    Jagah ji lagane ki duniya nahi hai
    Yeh ibrat ki jah hai tamasha nahi hai
    Tu khaer aur hawas ko chod miya
    Batdes pardes phire mara mara
    Kahzaq ajal ka loote hai din raaat bajake nakkara
    Kya bad,kya bhaisa kya bail shajar, kya goni pallu sar bhara
    Kya gehun chawal rot mutter
    Kya aag dhuaan aur angaara
    Sab thaat pada rehjayega
    Jab laut chalega banjara

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •