Page 12 of 27 FirstFirst ... 2101112131422 ... LastLast
Results 111 to 120 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #111
    MAJBORI
    Chahat main kya dunya dari,Ishq main kasi majbori

    Logon ka kya samjhane do, un ki apni majbori

    Main ne dil ke baat rakhi aur tu ne dunya walon ki

    Meri arz bhi majbori the un ka hukam bhi majbori

    Rok sako to pehli barish ki bondon ko tum roko

    Kachi mati to mehke ge hai mati ke majbori

    Jab tak hansta gata musam apna hai sab apne hain

    Waqt pare to aa jati hai Masnoi majbori

    Mudet guzri ek wade per aaj bhi qayam hain

    Hum ne sari umer nibhahi apni pehli majbori

  2. #112
    !!Dil Ki Baat Zaban Tak Lana!!!

    Dil Ki Baat Zaban Tak Lana
    Kitna Mushkil Hai
    Halay Dil Auroon Ko Sunana
    Kitna Mushkil Hai
    Aik Humain Hai Teri Chahat,
    Aik Dunya Ki Majbori
    Beech Samandar Diya Jalana
    Kitna Mushkil Hai
    Tum Dunya Ki Shedai Ho,
    Main Sapnoon Ka Bashinda
    Sath Humain Yuhn Tera Nibhana
    Kitna Mushkil Hai
    Aik Naye Dunya Ki Chahat
    Lay Aye Hai Kitni Dor
    Wapis Laut K Ghar Ko Jana
    Kitna Mushkil Hai
    Wehshat K Saaz Pay Raksaan
    Matam K Kuch Alfaaz
    In Hontoon Pay Geet Sajana
    Kitna Mushkil Hai
    Apnay Hontoon Say Ana K Talay
    Hum Say Na Khol Payen Gain
    Dor Hotay Sathi Ko Bholna
    Kitna Mushkil Hai
    Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko
    Dard Ka Mara Lagta Hai
    Apnay Zakham Logon Ko Dekhana
    Kitna Mushkil Hai
    Roz Muhj Say Aik Naye Tamana
    Karta Hai Yeh Mera Dil
    Is Nadaan Bachay Ko Samjhana
    Kitna Mushkil Hai
    Hum Ankhoon Say Kehnay Walay
    Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
    Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana
    Kitna Mushkil Hai

  3. #113
    kabhi zawaal nahy ata

    aander ki chup mohabbat ko
    mohabbat k aander yaqeen ki manzilo ko
    manzilo main bathakte loogo k
    un ki likhe baato ko
    baato main chuppy haqekato ko
    kabhi zawaal nahy aata
    bachpanay ki nanni shararato ko
    shararato main chupy muskurahato ko
    muskurahato k aander dukh ko
    kitaabo main rakhay phoolo ko
    chaand se kahi hazaar baato ko
    kabhi zawaal nahy aata
    sadiyo ki judaiyo mian
    saalo k higar ko
    higer ki bersaato ko
    bikhray mootio ko
    koyal k geeto ko
    kabhi zawaal nahy aata
    yaado k barfeelay paharo pr
    raat ki chupy tanhai ko
    garam dopehar main phirtay galiyo main
    kisi pagal kisi sada ko
    kabhi zawaal nahy aata

  4. #114
    BHEEGI SI IK RAAT YEA

    Bheegi si ik raat yeh
    Ley aai kya saath yeh
    Khamoshi k darmiyan
    Kab chahi thii baat yeh
    Dharknain jo humain
    Kehney lagi hain
    Na kaho' na suno
    Khamoshi guftago Honey lagi hai
    Zindagi khawab mein
    Khoney lagi hai
    Tabeerain ley aaon mein
    Tum sapney dey do mujhe
    Aisa kya hai?
    Itney kyun achey lagtey ho mujhe
    Tum hi jeevan ki aarzoo
    Na kaho' na suno
    Khamoshi guftago Honey lagi hai
    Zindagi khawab mein
    Khoney lagi hai
    Har aahat par dharkey dil
    Karwat karwat raat dhaley
    Charoon oor chehra tera
    Yun sapnon ka deep jaley
    Sapney hain apney payar k
    Na kaho' na suno
    Khamoshi guftago honey lagi hai
    Zindagi khawab mein khoney lagi hai
    Bheegi si ik raat yeh
    Ley aai kya saath yeh
    Dharknain jo humain kehney lagi hain
    Khamoshi k darmiyan kab chahi thii baat yeh
    Dharknain jo humain kehney lagi hain

  5. #115
    Us Phool Se Chehre K Naam
    Jis Ne Zindagi Ko Udaas Kar Diya


    Woh Bura Hai Toh Kia Howa Mat Kaho Bura Us Ko
    K Jo Howa So Howa Khuda Khush Rakhe Us Ko


    Mat Dekh Koi Shaks Gunhagaar Hai Kitna
    Yeh Dekh Tere Saath Wafadaar Hai Kitna


    Shikwa Karte Hai Zabaan Se Na Gila Karte Hai
    Tum Salamat Raho Bas Yahi Duwa Karte Hain



    Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete
    Nazar Ki Piyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Dete


    Judai Ka Pata Hota Tere Piyaar Se Pehle
    Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle


    Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte
    Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte


    Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta
    Kahi Zameen Toh Kahi AasmaaN Nahin Milta


    Wo Kehte They Rone Se Nahin Badalte Naseeb
    Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya


    TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha
    Hum Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badalta Raha


    Mera To Jo Bi Qadam Hain Wo Teri Rah Main Hain
    Ke Tu Kahi Par Bhi Rahe Tu To Meri Nigah Main Hain


    Kantoun Par Bhi Neend Aae , Saath Agar Dilbar Ho
    Bin Dilbar Neend Na Aae , Chahe Phoolon Ka Bistar ho

  6. #116
    MuLaQaT



    Kaash Yai Mukhtasar Si Mulakat Hi Naa Hoti
    Gar Na Ashna Hi Rehtai,Tu Phir Yai Baat Bhi Na Hoti



    Jo Na Dekhte Tum Mujhko, Yoon Nazar Bacha Bacha Kar
    Meri Zindagi Ab Aisi, Andheri Raat Bhi Na Hoti



    Mumkin Tha Bhool Jate Soghat Yaar Ki
    Chahat Ki Teri Us Main, Mithas Agar Na Hoti

  7. #117
    Raat mein khayaalon mein aati ho tum
    Kabhi saamne aakar bhi dekho
    Hum se baatein to roz karte ho tum
    Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
    Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
    Kabhi hamein nazaron se samajh kar to dekho
    Humse dosti ka rishta hai tumhara
    Kabhi hum say dil laga kar to dekho
    Humari baton ne tumhaara dil kahi baar behlaya hai
    Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho
    Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
    Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho
    Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
    Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
    Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
    Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho
    Tumhein paane ke liye har imtihaan denge hum
    Humein kabhi aazmaa kar to dekho
    Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana
    Ek baar hamein apna banaa kar to dekho

  8. #118
    WAFA
    Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
    Unki hassi ko apne hoton se muskurakar dekh

    Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
    Unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh

    Ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost

    Kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh

    Bohat ho chuki mohabbat mein meri ruswai
    Ae Khud main wafa kar ke bhi bewafa kehlayi

    Ya tu anjam dede meri mohabbat ko tu
    Ya hata de hum diwanoo par se apni khudai

    Dard kitne hain bata nahin sakti
    Zakhm kitne hain dikha nahin sakta

    Ankhon se samjh sako tu samjh lo
    Ansoon gire hain kitne gina nahin sakta
    -----------------
    0314-5310052

  9. #119
    Sirf Tum Ho

    "Meri soch ki udhan hai jahan talak,
    Wahan tum hi tum ho,
    Meri nazar ki had hai jahan talak,
    Wahan tum hi tum ho,
    Mera sehra hai jahan talak,
    Barsaat tum hi tum ho,
    Meri barsaat hai jahan talak,
    Ghata tum hi tum ho,
    Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
    Har qadam pe tum hi tum ho,
    Mere dil ki waadi hai jahan talak,
    Har chehraa tum hi tum ho,
    Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
    Muskurahat tum hi tum ho,
    Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
    Woh sharart tum hi tum ho,
    Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
    Us sehar mein tum hi tum ho,
    Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
    Wahan tum hi tum ho,
    Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
    Woh umeed tum hi tum ho,
    Mujhe sahara hai jahan talak,
    Woh saheban tum hi tum ho,
    Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
    Woh sapne tum hi tum ho,
    Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
    Woh roshn i tum hi tum ho,
    Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
    Sab roshniyan tum hi tum ho.

  10. #120
    Ghazal

    Janey kesee larki hai jo chahati hai mujhey apni khushi ke liye
    kash bhula dey woh mujhey meree khushi ke liye
    kya soch ker janey us ney khud ko rakah hai hai tanha
    batae koi ussey nahi beekharta koi yahan kisi ke liye
    sabhi mosamo main bahar nahi hoti sabhi rastey hotey nahi judaee k
    nahi hota koi aik shaks hi zaroori zindagi ke liye
    tum mujh tak pohanchney sey pehley her rasta band ker leyna
    mager ek rahh khuli rakhna wapsi ke liye
    mana kamzor per chukey hain woh sarey wadey merey
    qurbani denee hi perti hai khud ko kabhi kisi ke liye
    najaney dil main terey kya jazbaat hain ab
    acha hi kya tha main ney apni dosti ke liye
    ek wohi hasti thee mehwarey zindagi (khurram)
    taras gaya hoon main us sehar ki roshni ke liye

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •