Page 13 of 27 FirstFirst ... 3111213141523 ... LastLast
Results 121 to 130 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #121
    Kabhi iqrar kar layna kabhi inkar kar layna
    kahaan say tum nay sekha hai anokha pyar kar lyna
    tumhain baanhoon main bhar k serif yehhi pygam dena tha
    apnay sooy jazboon ko zara bydar kar layna
    kabhi chahat say tum magloob ho kar muskora dyna
    kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar lyna
    kabhi shola kabhi shabnum kabhi shadaan kabhi barhum
    kabhi roona kabhi lyhjay ko phir jhankar kar lyna
    tumhari yeh bolti ankhain yeh gur jantee bhee hoon gi
    hum aseeoon ko aseer nagmaan guftaar kar lyna
    salika chaheyeh rah talab main jinay marnay ka
    nahi zeba mohabbat ko janoon aasar kar lyna
    mohabbat ek naymaat hai essay sagar yeh samajh na
    monasib to nahi hoga esay aazad kar lyna

  2. #122
    TeRi YaaD Aai



    Kabhi zakhm jo khaya to teri yaad aai
    Koi bhi dard uthaya to teri yaad aai

    Jab kisi haseena ney kisi aashiq par
    Koi ilzaam lagaya to teri yaad aai

    Jab kisi nay bhi naam lay kay mera
    Pyaar se paas bulaya to teri yaad aai

    Haakim-e-waqt nay jab bhi kisi majnu par
    Be panah zulm jo dhaya to teri yaad aai

    Kisi ghaneem nay jab bhi kisi be kas par
    Be waja tegh uthaya to teri yaad aai

    Gul nay khiltey hi apni khushbu se
    Jo gulshan ko mehkaya to teri yaad aai

    Din to kat hi gaya jhamelon mein, magar
    Phela jo shaam ka sea to teri yaad aai

    Kia kahoon kal shab barastey badal nay
    Jo is dil ko tarpaya to teri yaad aai

    Bari narmi se teri yaad kay sab khaaroon nay
    Dard ka seena jo sehlaya to teri yaad aai

    Khizaan aalood shajar nay hawa kay jhonkay par
    Aik patta jo giraya to teri yaad aai

    Kay bichar kay mujh se tum bhi pashemaan ho buhat
    Tum ney jab mujh ko batlaya to teri yaad aai

  3. #123
    Gham-e-TanHai~*~

    KABHI YOON BHI AA MERI AANKH MEIN
    KE MERI NAZAR KO KHABAR NA HOO
    MUJE EK RAAT NAWAZ DE
    MAGAR US KE BAAD SAHER NA HOOO


    WOH BARA RAHEEM-O-KAREEM HAI
    MUJHE YEH SIFT BHI ATA KARE
    TUJHE BHOLNE KI DUWA KARO
    TU DUWA MEIN MERI ASAR NA HOO

    KABHI DIN KI DHOOP MEIN JHOOM KE
    KABHI SHAB KE PHOOL CHOOM KE
    YOHEIN SAATH SAATH CHALE SADA
    KABHI KHATAM APNA SAFAR NA HOO

    MERE PAAS MERE HABIB AA
    ZARA AUR DIL KE KAREEB AA
    TUJHE DHERKANOO MEIN BASALOON MEIN
    KE BICHERNE KA KABHI DER NA HOO

  4. #124
    ab k us ki ankhon mein be sabab udasii thi
    ub k us ki ankhon mein dukh tha be hawassi thi
    ab k yun mila muj say yun gazal suni jaise
    mein bhi na shanasa hoon
    woo bhi ajnabi jaise...
    wo k jis ne umar bhar
    shehar bhar k logon mein
    muj ko ham sukhan likha
    dil say qareb samjha
    khud say meharban jana
    ab k sada kagaz par
    surkh roshnai say...
    us ne thalk lehjay mein
    mere nam say pehlay
    sirf "BEWAFA" likha

  5. #125
    Tera dard tha teri aas thi
    main jidhar gaya main jahan gaya
    Mera din to yunhi guzar gaya
    Junhi shaam hoi main bikhar gaya
    Is abar ka mere yar se,
    kitna milta julta mizaj tha
    kabi toot kr bikhar gaya
    kabi berukhi se buzr gaya
    Koi bat b na keh saka
    bas thori dair ka sath tha
    wo mila tha raat khawab me
    Junhi subah hoi wo bichar gaya
    Jab chor don ga wo gali
    Ussey yad aye gi tab meri
    wo dhonde ga mujhe gali gali
    or khabar mily gi me guzar gaya

  6. #126
    Tum ne barshon ko mehaz baraste dekha ha
    Main ne aksar barishon ko kehte sunte dekha ha
    Tum dekhte ho barishon ki jal thal
    Main ne barsat ko baar haa palkon pe machalte dekha ha
    Kaisay mangon phir barsata sawan apnay RAB se???
    K in aankhon ne bastiyon ko Sawan me ujarte dekha ha
    Seekh gaya hon barishon ko apne andar utarne ka fun
    Or phir sab ne hamain har pal har dum haste dekha ha

  7. #127
    Teri mushkil na barhaon ga chala jaon ga
    Ashk ankhon me chupaon ga chala jaon ga
    Apni dehlez pe kuch dair para rehne do
    Jese he hosh me aaonga chala jaon ga
    Muddat bad aya hon puranay ghar me
    Khud ko ji bhar k rulaon ga chala jaon ga
    In galion se kuch bi nai lena mujh ko
    Bas tumhen dekhne aaon ga chala jaon ga
    Tm mere sang chalo ya na chalo
    main to awaz lagaon ga chala jaon ga
    Main ne ye jang nai cheri apne liye
    Takht pe tmko bithaon ga chala jaon ga

  8. #128

  9. #129
    Phir aj koi ghazal tere naam na ho jaye
    Aj kahen likhtey likhtey sham na ho jaye
    Kar raha hon intizar tera izhar-e-mohabat ka
    Isi intizar main zindagi tamam na ho jaye
    Nahi leta tera naam sar-e-aam is dar se
    Kahen naam tera badnaam na ho jaye
    Mangta hon dua jab b tum yad aatey ho
    K judai mere pyar ka anjaam na ho jaye
    Sochta hon darta hon aksar tanhai main
    Us k dil men kisi aur ka muqam na ho jaye

  10. #130
    Gham-e-dunia k samandar me kinara dhondun
    Andhi kis simt chalay gi ye ishara dhondun
    Karb tanhai ka rug rug main utar aya
    Ik faqat teri mohabat ka sahara dhondun
    Jab tri yad main aankhon se rawan hon aansu
    Khushk karne ko me daman bhi tumhara dhondun
    Wasl bhi aag ha or hijar bhi jalta darya
    Thanday chashmon ka sanam kaisay nazara dhondun
    jab kisi gham main koi toot k roya
    Mian tumhain yad karon dar b tumhara dhondun

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •