Page 17 of 27 FirstFirst ... 71516171819 ... LastLast
Results 161 to 170 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #161
    Mujhe awaz de lena

    Kbi jab ankh chalkay to

    Kbi jab dil na sanbhlay to

    Mujhe awaz de lena

    Kbi jab door ho koi

    Bohat majbor ho koi

    Koi awaz na de to

    Mujhe awaz de lena

    Koi ansoo na ponchay to

    Koi hansnay se rokay to

    Koi tum ko sataye to

    Mujhe awaz de lena

    Kbi jab din na guzray to

    Kbi jab raat tarpaye to

    Kbi din main andhera ho

    Mujhe awaz de lana

    Main tere pass hon

    Main tere sath hon

    Mgr phir b guzarish ha tumse

    Mujhe awaz de lena...

  2. #162
    Sham dilkash ha

    Mera sath de doo

    ye mear hath ha

    Is me apna hath dedoo

    Dil chahta ha jo sadiyoon se

    Wo haseen chahat de doo

    Galay milkey mujhe rahat de doo

    Parwana ha ya Ukab

    Sunlay

    Apna keh k zamane main

    Ishq ka ankalab de doo

  3. #163
    Kbi jo hum nahi hongay

    Kaho kis ko batao gay

    Wo apni uljhanain sari

    Wo bechaini me doobay pal

    Wo ankhon mein chupay ansu

    Kisay phir tum dikhao gay

    Bohat bechain ho gay tum

    Bohat tanha reh jao gay

    Abi b tum nahi samjhay

    Hamari an-kahi batain

    Mgr jab yaad aain gay

    Bohat tum ko rulain gay

    Bohat chaho gay phir milna

    Hamain na dhoond pao gay

    Kbi Jo Hum Nahi HonGay..

  4. #164
    Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa

    Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa
    Mumkin To Nahi Magar Chala jaa
    Loti Nahi Taairon Ki Sangat
    Jaagi Nahi Rah guzar Chala Jaa

    Ab tak to Hawa Thami Hui Hai
    Saakt Hain Abhi Shajar Chala Jaa
    Kia Haal Bana Lia Hai Apna
    Kuch Apna Khayal Kar Chala Jaa

    Phir Koi Samait ta Nahi Hai
    Aise Na Ho Darbadar Chala Jaa
    Yaan Khaima-e-Aafiyat Nahi Hai
    DUniya Hai Jidhar, Udhar Chala Jaa

    Ye Saari Hi Khush Kharamiyan Hain
    Koi Nahi Hum Safar Chala Jaa
    Ab Aur Hawain Chal Rahi Hain
    Ab Kon Hai Naamabar Chala Jaa

    Maana Ke tu Jaanta Hai Sab Kuch
    Phir Bhi Mere Be Khabar Chala Jaa
    Aagay Bhi Hain Manzaron Ke Jhurmat
    Jaa Aie Mere Khush Nazar Chala Jaa

    Ab Jang Ka Jo Bhi Faisla Ho
    Main Hoon Na Mahaaz Per Chala Jaa
    Ab Jaa ke Hua Hai ishQ tujh se
    Ab tu Mujhe Chod Ke Chala Jaa
    -------------------------
    0314-5310052

  5. #165

  6. #166
    Kitne din beet gaye hai dekho to sahi,
    Kitne chiraag bujh gaye hai dekho to sahi,

    Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya,
    Khizaan ek bar phir aagayee hai dekho to sahi,

    Kitni chahat se likhta tha main naam tumhara,
    Wo kalam hi tod diya hai zara dekho to sahi,

    Itni asaani se to milti nahi nafrat bhi lekin,
    Tumne haasil sada pyar thukra diya dekho to sahi

    Aana rokti hai mujhe har bar jhukne se magar,
    Kitni bar tumne jhukaya hai dekho to sahi,

    Faqeer bankar tere kuchay mein aakar,
    Kitni aas se dekhte hai tumhe dekho to sahi...

  7. #167
    Jab koi baat kerta Hon tera khayal aata hay
    Jabb kuchh sochnay lagta Hon tera khayal aata hay

    Meri aankhon meri nazar main Tum aisay samayi ho
    Jabb kuchh dekhnay lagta Hon tera khayal aata hay

    Koi bhi kaam mujh se abb Tu kia nahi jaata
    Jaabb kuchh kernay lagta Hon tera khayal aata hay

    Main saari raat Tujhe sochtay bita deta Hon
    Main jabb bhi sonay lagta Hon tera khayal aata hay

    Kabhi jabb hansi aati hay Tu dil ronay lagta hay
    Main jabb bhi hasnay lagta Hon tera khayal aata hay

    Main pal pal merta rehta Hon nahi abb jia jata
    Main jabb bhi jeenay lagta Hon tera khayal aata hay

  8. #168
    Mujhey Aaram Karney Do,

    Mujhey Abb Mat Sataao Tum
    Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko,

    Mujhey Abb Mat Jagaao Tum
    Mairi Khamosh Aankhon Say,

    Koi Qissa Na Kehna Tum
    Mairey Khwabon Mein Sehra Hain,

    Mujhey Ab Mat Rulao Tum
    Dukhon Ki Ikk Kahani Thi,

    Ussi Ka Aakhri Hissa
    Bohat Arsey Say Jari Tha,

    Ussey Ab Mat Dohrao Tum
    Mairey Viraan Kamrey Mein,

    Teri Tasveer Abb Bhi Hai
    Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai,

    Issey Abb Mat Hatao Tum
    Mairey Jaaney Ki Baaton Per,

    Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
    Mairey Jaaney Ki Raaton Mein,

    Ussey Ab Mat Hansaao Tum
    Tumhaari Diary Ke Aakhri

    Auraaq Mein Main Tha
    Safhey Yoon To Na Phaarro Tum,

    Mujhey Yoon Na Mitaao Tum
    Kahin Sehra, Kahin Saahil,

    Kabhi Mitti, Kabhi Paani
    Mujhey Jo Cheezein Bakhsheen Thi,

    Usi Say Ghar Banao Tum
    Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon,

    Ab Aaey Ho To Ruk Jana
    Thakan Ki Dastaan Apni,

    Mujhey Abb Mat Sunaao Tum

  9. #169
    Jawaab dogi na ??


    Jab kabhi main kho jaon to ?
    Mujhe dhoond logi na ?

    Jab kabhi main tanha rahon ?
    Mera saath dogi na ?


    Jab kabhi mere behke kadam ?
    Tum thaam logi n a ?

    Jab kabhi mushkil ho safar ?
    Tum sang chalo gi n a?


    Jab kabhi de awaaz dil ?
    Tum sun loogi na ?

    Jab kabhi toote khawaab to ?
    Tum bana loogi na ?

    Jab kabhi mujh se ho khata ?
    Tum bakhsh dogi na ?


    Jab kabhi meri num ho ankhen ?
    Tum payar dogi na ?

    Jab kabhi gham aaye sanam ?
    Tum bant loogi na ?


    Jab kabhi mere ansu bahein ?
    Tum poonch loogi na ?

    Jab kabhi umar dhal jayegi ?
    Tum yun he chahogi na ?


    Mere in sawalon ka ?
    Kuch to jawab doogi na….. ??

  10. #170
    Nai nai si lagti hain ye zindagi tere aane ke baad.
    Gham judai ka khatm kar dega hume tere jaane ke baad.
    Har kami ganwara hain sanam, gar saath ho tumhara.
    Jaane anjaane ban gaye ho tum jine ka sahara.
    Teri yaadon mein doobe huan hain ab subho shaam mere.
    Neend to jaati rahi, ab mere khwab bhi ho gaye hain tere.
    Zulfo ko raat, chehre ko chaand jab se keh gaye ho tum,
    bheed mein sab se juda aur haseen mujhe bana gaye ho tum.
    Yaadon se teri behalta nahi ab dil ye mera.
    Such ho jaaye sapna mera gar ban jaaon saaya main tera...

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •