Page 25 of 27 FirstFirst ... 152324252627 LastLast
Results 241 to 250 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #241
    Apni ankhoon ke sabi ashq baha kr sona!

    Tum meri yaad ka her deep bujha kr sona-

    Ek sitara bhi meray khiyal ka baqi na rahay

    "Chandni shub ke nishanat mita kr sona:

    Dar lagta hai neend hi kaheen cheen na ly?

    Tera her roz meray khwabun mein aa kr sona.

    Bad mein log gira dain to koi bat nahi.

    Har tarf payar ki deewar utha kr sona.

    Subah hotay hi teray shahr say jana hai mujhay.

    Aaj ki raat Zara mujhko mana kr sona


  2. #242
    Apni MUHABBAT ki wo koi wazahat nahi karta,

    Ye Dil Tere siwa koi chahat nai karta,

    Aik hum hain jo khushyan b nichawar kr dty hain,

    Ek wo hy jo dard b inayat nahi karta,

    Jab b usay bhulane ki koshish karta hun,

    mry andar hy koi jo mri himayat nhi krta,

    apni taqdeer ki kitaab me hi nahi koi Mohabbat ka baab,

    phr b Dil tm se koi shikayat nai krta.!

  3. #243

  4. #244
    Aa gayee yaad, shaam dhalte hee,
    Bujh gayaa dil, chirag jalte hee,
    Khul gaye saharo-gum ke darvaaze,
    Ek zaraa see hawaa ke chalte hee,
    Koun tha tu, ke phir na dekha tujhe,
    Mit gayaa khwab, aankh malte hee...

  5. #245
    tum na samghoo gay mere dil pe guzarti kia hai

    tum nay dekha nahi mosam meri tanahai ka

    jis kay lab tak na hilay meri tas-s-lli kay lie

    da dia kis nay laqab us ko meri masihai ka

  6. #246
    Kash-m-kash se guzrti, uthti, girti
    Yeh mohabbet aaj rang laye hai
    socha na tha rah main saath dete dete
    tum zindgi mein hamsafar banjaoge

    baithi hun reet main seepe batorti
    aur samundr ke thandi lahere tan ko chuti hai
    socha na tha panch tantra ke is khel main
    saath mere itni door chale aaoge

    Mere baabul ko mili hai aaj kushi
    Apni beti ke haatn unhe peele karne hai
    Socha na tha is asat mohabbet ko dil se laga
    tum kayamat tak mere saath nibhaoge

    tere khayalo main gumsum hun baithi
    hawa ke jokhe mere zulfo ko bahekate hai
    socha na tha yuh lajja jayengi yeh aakhen
    tum jab mere deedar ki preet manaoge

  7. #247
    @#@#@>>> WEERAN AANKHE <<<@#@#@


    Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
    Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

    Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
    Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein

    Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
    To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

    Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
    Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

    Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
    To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
    Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
    Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein…!!

  8. #248
    Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do...

    Mujhe baahon mein bikhar jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Dil machalta hai aur saans rukti hai,
    Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Shokh nazron ko sharm aati hai,
    Thartharaate hue labon ko chain paane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Raat tanha hai aur sard mausam hai,
    Shola-e-ehsaas ko ab aur bhadak jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Behke hain hum fizaa jo behki hai,
    Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
    Haule haule is shab ko tum guzar jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
    Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…

    Mujhe baahon mein bikhar jaane do
    Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

  9. #249
    KAHAN KHO GAYE HO TUM ? ? ?



    kahan kho gaye tum na
    jane kahan kho gaye tum?



    chhoti si iss pagdandi pe
    ek sath chale the hum
    bich raah mein chhod ke mujhko
    kahan kho gaye tum???



    hariyali ho ya suukha
    har haal mein sath nibhayenge
    har haal mein sath nibhane ka wada
    kyun tod gaye ho tum??



    baarish ki wo tap-tap bundein
    jo hum dono ko hi bhati thin
    uss baarish mein akela bhigne mujhko
    kyun chhod gaye ho tum??



    thandi hawa wo chandni raatein
    jaage the hum sath mein
    un thandi raaton ko
    aansuon mein
    kyun dubo gaye ho tum??



    saagar kinare bitaaye
    the jo lamhe
    wo zara tum yaad karo
    unn pyaar bhare lamhon ko kaise
    jhuta keh gaye ho tum!!



    dekha tha tumhari
    aankhon mein
    pyar maine dher sara
    meri ek galti k liye mujhe
    un nazron se
    gira gaye ho tum!!



    dhadakta tha dil tumhara
    sirf mere khyal se
    aaj apni unhi dhadkanon ko
    nazar andaz kar rahe ho tum!!



    jeete the hum sada
    khwabon ki hi duniya mein
    meri zindagi ko hakikat k
    hathon soump gaye ho tum!!


  10. #250
    Ye husn tera ye ishq mera
    Rangeen to hai badnaam sahi
    Mujh par to Kai ilzaam lage
    Tujh par bhi koi ilzaam sahi

    Is raat ki nikhari rangat ko
    Kuch aur nikhar jaane de zaraa
    Nazaron ko bahak jaane de zaraa
    Zulfon ko bikhar jaane de zaraa
    Kuch der ki hi taskiin sahi
    Kuch der kaa hi araam sahi

    Jazbaat ki kaliyaan chunna hai
    Aur pyaar ka tohfa dena hai
    Logon kii nigaahin kuch bhi kahen
    Logon se hamen kyaa lenaa hai
    Ye Khaas taaluq aapas kaa
    Duniyaa ki nazar men aam sahi

    Rusavaai ke Dar se ghabaraa kar
    Ham tark e vafaa kab karate hain
    Jis dil ko basaa Len pahalu mein
    Us dil ko judaa kab karate hain
    Jo hashr huaa hai laakhon kaa
    Apanaa bhi vahi anjaam sahi

    Ye husn teraa ye ishq meraa
    Rangeen to hai badnaam sahi
    Mujh par to Kai ilzaam lage
    Tujh par bhii koi ilzaam sahi

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •