Page 5 of 27 FirstFirst ... 3456715 ... LastLast
Results 41 to 50 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #41
    Aaj,
    shab-e-tanhai main,

    palkon pe sitary sajay gham ki chokhat e beth kr,

    Soch raha hon jab us ne mere hath jo chua tha

    to muskara kr boli thi,

    "Tumhary Hath Kitne Garm Hain"

    Aur janty ho garm hath wafa ki alamat hoty hain,

    Ye sun kr main itna khush hua...

    K ye b bhoo gaya ...

    "K us k Hath Kitny Sard Thay"

  2. #42
    Main nahi hon apnay wajood mein

    Mujy janey kis ne chura lia

    Mere sath rehti ha wo har qadam

    Koi jadoo us ne chala dia

    Meri rooh mei wo sama gai

    Mujy ishq karna sikha dia

    Meri zindagi wo ban gai

    Muje jeena us ne sikha dia

    Main to khud se bhi tha na ashna

    Mujy mujh se us ne mila dia

  3. #43
    Koi to ho aisa jo sirf mera ho
    Baton me unki khushbu ho
    Dil me unka basera ho
    Chahy to chahat meri
    Mangy to mohabat meri

    Wo chand ki chandni ho to
    Chand sirf mera ho

    Wo falak ki roshni ho to
    Suraj sirf mera ho

    Wo pholon ki khushbo ho to
    Ehsas sirf mera ho

    Wo falak ka ujala ho to
    Charagh sirf mera ho

    Wo ishq or Mohabat ho to
    Dil sirf mera ho

    Wo pani ka cheenta ho to
    Darya sirf mera ho

    Wo kismat ki lakeer ho to
    Hath Sirf Mera Ho.






  4. #44
    Kash wo guzri shaam aa jaye

    Tere honton pe aaj mera naam aa jaye

    Mera dil tarapta ha tujh se milny ko

    Tere dar se koi pegham aa jaye

    Band aankhon me tere sapny dekh kr

    Kuch nahi to dil ko aram aa jaye

    Dil se dil juda na ho umar bhar

    Kash koi aisa nizam aa jaye

  5. #45
    Jab kbi chahy andheron mein ujaly usny
    Kar diya ghar mera sholon k hawaly usny
    Us pe khul jati mery shoq ki shidat sari
    Deikhy hoty jo mery paoon k chalay usny
    Jiska har aib zamany sy chupaya maine
    Mere qissay sar-e-bazar uchalay usny
    Jab usay meri Mohabbat par bharosa hi na tha
    Kyun diyee logon ko meri wafaon k hawaly usny
    Aik mera haath he na thama usny warna
    Girtay huway kitnay he sambhalay usny

  6. #46
    "WAFA" is ko nahi kehte, "WAFA" kuch aur hoti hai..
    "MOHABBAT" karnewalon ki , "ADA" kuch aur hoti ha..
    Tumhen "DEKHA"
    Tumhen "CHAHA"
    Tum hi se "PIYAR" kar bethay..
    Suno "PATHAR" k dil walo, "MOHABBAT" aisi hoti ha
    Agarche "GHAM" ka mara hon, Magar TUM ko na bholonga.
    K "DEEWANO" k "HONTON" par DUA kuch aur hoti ha..
    "TARAP" uthe gi ye duniya agar royega dil mera..
    K DIL se jo nikalti ha wo "SADA" kuch aur hoti ha...

  7. #47
    Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
    naseeb hon khushiyaan tumhain tum khush raho sada
    tumhain rahat milay , tumhain chahat milay
    tumhain saray jahan ki muhabbat milay
    jahan main sab say hon achay tumharay naseeb
    koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb
    tumharay dil ki har aarzoo poori Khuda karay
    tumharay chahnay walon ko kabhi na juda karay
    mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyan
    Dua hay bas tumhain kabhi gham na milay yahan


    -----------------
    0314-5310052

  8. #48
    Haath chhoote bhi to rishte nahin chhodaa karte
    waqt kii shaakh se lamhe nahin todaa karte

    jis kii aavaaz mein silvat ho nigaahon men shikan
    aisi tasveer ke tukde nahin jodaa karte

    shahad jeene ka mila karta hai thodaa thodaa
    jaane vaalon ke liye dil nahin thodaa karte

    lag ke saahil se jo bahtaa hai use bahne do
    aisi dariya ka kabhi rukh nahin modaa karate

  9. #49
    Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
    Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
    Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
    Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

    Mast Nazron se dekh lenaa tha
    Agar tamanna thi aazmane ki
    Hum to behust youn hi ho jaate
    Kya zaroorat thi muskurane ki

    Chehrey Per Banawat Ka Gussa
    Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai
    Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
    Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

  10. #50
    Haan Piyaar Nahi, Ishq Nahi, Ibadat Ki Hai
    Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai
    Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko
    Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai

    Qabool Kar Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko
    Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat Ki Hai
    Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya He Khush Bukhti
    Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai

    Karoon Main Kese Adaa Shukar Iss Nawazish Ka
    Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai

    Khood Se Bhi Bhar Kar Main Ne Tujh Chahat Ki Hai
    Haan Piyaar Nahi, Iahq Nahi, Ibadaat Ki Hai

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •