Page 26 of 27 FirstFirst ... 1624252627 LastLast
Results 251 to 260 of 265

Thread: *~*Khurram's Collection*~*

  1. #251
    Aankho me khushi,Labon pe hasi.
    Gam ka kahi naam na ho.

    Aapko jahaan ki saari khushiyan milain,
    In khushiyon ki kabi shaam na ho.

  2. #252
    "Agar wo Mehrban Hota"
    ToMeri be-noor ankhon mey sitary qaid kar deta,
    Meri zakhmi hatheli pe wo koi phol rakh deta,
    Mere hathon ko apne hath mey le kar wo ye kehta
    "Mohabat roshni hai, Rang hai, Khushbo hai, Sitara hai,
    Qasam mujh ko mohabat ki mujhe tou sab sey pyara hai".
    Magar wo aisa tab kehta, "AGAR WO MEHRBAN HOTA"

  3. #253
    "Chaha To Bohat"
    Chaha tu bohut tha lekin wo mila hi nahi,
    Laakh koshish ki mager yeh fasla mita hi nahi,
    Na jany zamany ny mujboor is qader ker diya,
    Ky wo meri kisi sada pay thera hi nahi,
    Mien tamam ter koshishoo ky bawajoud har gaai,
    Wo usay mil gaya jis ny is ko manga hi nahi,
    Her ik say poucha tery na milny ka sabub,
    Her ik ny kaha wo tery liye bana hi nahi,
    Itni shiddut say chaha tha us ko,
    Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi

  4. #254
    Har Lamha Tere Yaad Ki Khushbo Hay Meray Pass
    Is Shehar Main Tanha Hon Magar Tu Hay Meray Pass
    Jis Shakal Ko Chahon Tere Soorat Main Badal Doon
    Yeh Husan_e_Tasawar Hay K Jado Hay Meray Pass

    Rakhta Hay Sada Jo Mere Raton Ko Mua’atar
    Who Teray Badan Ka Gul_e_Khushbo Hay Meray Pass

    Kia Mujh Ko Pasand Aaian Gay Is Shehar K Naghmay
    Tu Hay Mere Koyal Tere Koko Hay Meray Pass

    Kyon Thamon Ga Main Janan Kisi Aur Ki Banhein
    Paihnay Huay Kangan Tera Bazo Hay Meray Pass

    ab Chahon Qateel Us K Nagar Tak Mujhay Lay Jayei
    Sochon Ka Chamakta Hua Jugno Hay Meray Pass…!

  5. #255
    ( waqat )

    Suna tha waqat marham hai,har zakham bhula deta hai
    har guzra lamha ham ko to,ek zakham niaa deta hai.

    Raat ki rani hai yaa teri yaadun ki khushboo
    kuch to hai,jo aangan meray ehsaas ka mehka deta hai.

    Gar teray khayaalon mein kho kar,neend aa bhi jaey
    aa kar khawaboon mein,tera tasawar,ham ko jaga deta hai.

    Khush hote hain tasawar mein tumain qareeb dekh kar
    shaid mil na paein ham,yeh khadsha sehma deta hai.

    Dil bahot nazak hai,gham se bhar na aaey kion
    pathar pe chott lage to woh bhi saza deta hai.

    Dushman hai zamana mohabbat karne walun ka azal se
    in dooriun,judaiun ka ehsaas rula deta hai.

    Yaad aata hai tera wada,jewan bhar saath nibhane ka
    to KOMAL ke dil mein umeed ki,shama jala deta hai

  6. #256
    WO KON HAI JO DAIKHAI NA DAI

    wo kon hai jo deikhai na dai
    dil key kissi ajnabhi rastey per chaley ja raha hai

    wo kon hai jo deikhai na dai

    wo hi qadmoo ki ahat milli jis taraf bhi main janey lagi
    kaisi surat hai ye izhar ki

    wo kon hai jo deikhai na dai

    teri yadoon main gum hogai
    janti hoon key tu mera nahi
    kaisey dhokey main khud aa gai

    wo kon hai jo deikhai na dai
    dil key kissi ajnabhi rastey per chaley ja raha hai

  7. #257
    dil ke aaino pe tum aitbaar kerlete...
    musamon ke khulne ka intazar kerlete...
    sheher chhod jaane ki thi tumhein buhat jaldi...
    ye na kersake mera dukh shumaar kerlete...
    tum to her taaluq hi saath legaye apne...
    kaash ye bichhad jana tum udhaar kerlete...
    ik tumhare milne ki aas to bandhi rehti...
    raasta koi aisa ikhtiyaar kerlete...
    ishq mein bhi tum ne faidey hi sochey the...
    kaash tum koi behtar karobar kerlete...

  8. #258
    Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti
    Har Wafa Adda Nahi Hoti
    Kya Tamanna Ki Ab Zaroorat Hai
    Puri Koi Dua Nahi Hoti
    Mil Gaye Har Aik Gaam Per!
    Doosti Woh Dawa Nahi Hoti
    Sab Key Hathoun Mey Hain Diyeh Lekin
    Roshni Ayye Khuda Nahi Hoti
    Assmaan Yeh Qayaam Ho Ga Abb
    Qeemat-E-Zameen Adda Nahi Hoti
    Dhondtey Kya Ho Shehar Mey Abb
    Har Soraat Tu Ashnaa Nahi Hoti...

  9. #259
    Is hasrat se mila kya mujhko
    Ik jhalak mere dildaar ki
    Is muhabbat se mila kya mujhko
    Bechaini-o-beqarari yaar ki,
    Is ashiqui se mila kya mujhko
    Ik sunahari raah ishq ki,
    Aur tere pyaar se mila kya mujhko
    Ik raah jeene ki hamvaar si.

  10. #260
    Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey
    wohi donno jo bhegee reet per
    ek dosarey ka haath thammay door taak
    kabhi hansttey,kabhi kuch gungunattey
    ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may
    ropposh honay walla sooraj dekhttey
    ansoo bhahattey loat jattey!
    Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
    jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay
    kabhi sahi say dehairoon Seepiyaa chunttey thay
    Nangay paoo pani may challey attey thay
    bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay
    aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay
    kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay
    anay walley kal ki moothhi may chupattey thay!
    Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
    mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa
    ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
    jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
    phir ussnay dair sarey khaat
    buhut say phool sookay aur tasveeray
    aur apnay akhri ansoo
    samander kay hawalley kerdiyey..

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •